Shell Shocked
kaan ke paas se niklī golī
zehn ke andar Thahar ga.ī hai
kaan ke parde par ik chuuñ kā lambā parda paḌā huā hai
bachchoñ ke hañsne kī khan-khan
mausam ke pāzeb kī chhan-chhan
chīḳh ho koī yā phir siskī
is parde par hī hai ThiThkī
yā'nī koī lafz koī āvāz mere andar aa kar ab
DhūñDh nahīñ saktī apnī lai
mujh meñ kahīñ nahīñ ab vo shai
bam kā dhuāñ to bam phaTne ke kuchh hī der meñ havā havā thā
lekin us kī chamak aañkh par Thahrī huī hai
bīnā.ī pe jaise koī varaq chaḌhā hai chāñdī kā
sub.h sub.h koī phuul khile
yā der raat ek film chale
yā tum aa jaao shaam Dhale kuchh bhī dekh nahīñ saktā maiñ
mujh ko dekho
aur batāo
jiite hue lashkar ke sipāhī
aise kaise ho jaate haiñ?
kan ke pas se nikli goli
zehn ke andar Thahar gai hai
kan ke parde par ek chun ka lamba parda paDa hua hai
bachchon ke hansne ki khan-khan
mausam ke pazeb ki chhan-chhan
chiKH ho koi ya phir siski
is parde par hi hai ThiThki
ya'ni koi lafz koi aawaz mere andar aa kar ab
DhunDh nahin sakti apni lai
mujh mein kahin nahin ab wo shai
bam ka dhuan to bam phaTne ke kuchh hi der mein hawa hawa tha
lekin us ki chamak aankh par Thahri hui hai
binai pe jaise koi waraq chaDha hai chandi ka
subh subh koi phul khile
ya der raat ek film chale
ya tum aa jao sham Dhale kuchh bhi dekh nahin sakta main
mujh ko dekho
aur batao
jite hue lashkar ke sipahi
aise kaise ho jate hain?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.