sher-o-shaeri
sirf umda hasīn lafzoñ se
sher meñ dilkashī nahīñ aatī
gar na nikle vo dil se shā.ir ke
sher meñ zindagī nahīñ aatī
vo jo majnūñ haiñ duudh piine ke
un se to shā.erī nahīñ hotī
lailā-e-sher māñgtī hai ḳhuun
is se kam baat hī nahīñ hotī
zindagī ke hasīñ shabistāñ meñ
jin se dil ke charāġh jalte haiñ
dost āġhosh-e-shā.erī meñ vahī
ḳhūbsūrat ḳhayāl palte haiñ
be-niyāzī ko naaz hai jis par
hai vo aivān-e-nazm kā me.amār
DhūñDhtā hai jo apne fan kā sila
vo na hogā kabhī baḌā fankār
jis jagah āftāb jā na sake
pahuñche us jā ḳhayāl shā.ir kā
us kā ek ek lafz ho e.ajāz
hai to ye hai kamāl shā.ir kā
sher-e-nau ke imaam kahte haiñ
dar ḳhayālāt kā to band nahīñ
hamīñ deñge zabān ko vus.at
fan kī qaideñ hameñ pasand nahīñ
kahte haiñ ab nayā adab us ko
jis meñ mohmal sī baat kah jaa.eñ
sāhibān-e-mazāq bhī jis ko
sochte sochte hī rah jaa.eñ
jab mohabbat meñ Duub kar shā.ir
baat sab ke diloñ kī kahtā hai
parda-hā-e-dimāġh meñ vo sher
der tak gūñjtā hī rahtā hai
sirf umda hasin lafzon se
sher mein dilkashi nahin aati
gar na nikle wo dil se shair ke
sher mein zindagi nahin aati
wo jo majnun hain dudh pine ke
un se to shaeri nahin hoti
laila-e-sher mangti hai KHun
is se kam baat hi nahin hoti
zindagi ke hasin shabistan mein
jin se dil ke charagh jalte hain
dost aaghosh-e-shaeri mein wahi
KHubsurat KHayal palte hain
be-niyazi ko naz hai jis par
hai wo aiwan-e-nazm ka meamar
DhunDhta hai jo apne fan ka sila
wo na hoga kabhi baDa fankar
jis jagah aaftab ja na sake
pahunche us ja KHayal shair ka
us ka ek ek lafz ho eajaz
hai to ye hai kamal shair ka
sher-e-nau ke imam kahte hain
dar KHayalat ka to band nahin
hamin denge zaban ko wusat
fan ki qaiden hamein pasand nahin
kahte hain ab naya adab us ko
jis mein mohmal si baat kah jaen
sahiban-e-mazaq bhi jis ko
sochte sochte hi rah jaen
jab mohabbat mein Dub kar shair
baat sab ke dilon ki kahta hai
parda-ha-e-dimagh mein wo sher
der tak gunjta hi rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.