shiddat pasand
mujhe yaqīñ thā ki maz.haboñ se
koī bhī rishta nahīñ hai in kā
mujhe yaqīñ thā ki in kā maz.hab
hai nafratoñ kī hadoñ ke andar
mujhe yaqīñ thā vo lā-maz.hab haiñ
yā un ke maz.hab kā naam hargiz
sivā.e shiddat ke kuchh nahīñ hai
magar ai hamdam
yaqīñ tumhārā jo Dagmagāyā
to kitne insāñ jo ham-vatan the
jo ham-safar the
jo ham-nashīñ the
vo Thahre dushman
talāsh-e-dushman jo shart Thahrī
to bhuul baiThe
ki maz.haboñ se
koī bhī rishta nahīñ hai in kā
ki jis ko ta.ana diyā thā tum ne
ki us ke maz.hab kī kokh qātil ugal rahī hai
vo maañ ki jis kā javān beTā
tumhāre vahm-o-gumāñ kī āñdhī meñ gum huā hai
tumhāre badle kī aag jis ko nigal ga.ī hai
vo dekho ab tak bilak rahī hai
vo muntazir hai
koī to kāñdhe pe haath rakkhe
kahe ki ham ne bhī qātiloñ kī kahāniyoñ par
yaqīñ kiyā thā
kahe ki ham ne gunāh kiyā thā
kahe ki maañ ham ko muaaf kar do
kahe ki maañ ham ko muaaf kar do
mujhe yaqin tha ki mazhabon se
koi bhi rishta nahin hai in ka
mujhe yaqin tha ki in ka mazhab
hai nafraton ki hadon ke andar
mujhe yaqin tha wo la-mazhab hain
ya un ke mazhab ka nam hargiz
siwae shiddat ke kuchh nahin hai
magar ai hamdam
yaqin tumhaara jo Dagmagaya
to kitne insan jo ham-watan the
jo ham-safar the
jo ham-nashin the
wo Thahre dushman
talash-e-dushman jo shart Thahri
to bhul baiThe
ki mazhabon se
koi bhi rishta nahin hai in ka
ki jis ko tana diya tha tum ne
ki us ke mazhab ki kokh qatil ugal rahi hai
wo man ki jis ka jawan beTa
tumhaare wahm-o-guman ki aandhi mein gum hua hai
tumhaare badle ki aag jis ko nigal gai hai
wo dekho ab tak bilak rahi hai
wo muntazir hai
koi to kandhe pe hath rakkhe
kahe ki hum ne bhi qatilon ki kahaniyon par
yaqin kiya tha
kahe ki hum ne gunah kiya tha
kahe ki man hum ko muaf kar do
kahe ki man hum ko muaf kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.