shigaf jo zer-e-tamir hai
bahār ne hamārī taraf phuul pheñke
qabristān ne hamārī taraf ek qabr pheñkī
mujhe nahīñ mālūm ki phuul aur qabr
hamāre us shaḳhs ke haath kaise
lag ga.e jis shaḳhs ko ham abhī
taḳhtī par zindagī likhnā sikhā rahe the
jald-bāzoñ ne hameñ itnī bhī suhūlat
nahīñ dī ki ham ek maut kī vāzeh tasvīr banā paate
koī nahīñ jaan pā.egā ki kyoñ hamāre ghar
meñ ek frame baġhair kisī tasvīr ke hamesha
ke liye rakh diyā gayā hai
raat baḌbaḌā rahī hai aur ham apne siine par haath rakhe hue
baḌh rahe haiñ ek aisī āvāz kī taraf jo āvāz
shaam ke shor meñ hameñ puurī tarah sunā.ī nahīñ detī
aaj chāñd ko itnī tābnākī ke saath raat kī baḌbḌāhaT
kā saath nahīñ denā chāhiye thā
āñsūoñ kī ek qatār aaj parindoñ ke saath
sarhad ubuur kar jā.egī aur koī sipāhī
āñsūoñ kā passport check nahīñ karegā
ham dekh rahe haiñ ki ḳhuun kī ek dhaar
baisākhiyāñ thaam kar hamārī jānib baḌh rahī hai
aur kah rahī hai ki tum log itne zor se
apne dil ko patthar par kyoñ nahīñ paTaḳhte ki
tumhāre dil ke TukḌe bhī is bahār
meñ khilne vaale phūloñ meñ shumār ho jaa.eñ
ab ḳhuun kī dhaar ko kaun batā.e ki kyoñ ham
apne siine par haath rakh kar ek āvāz
kī taraf baḌhte chale rahe the
bahaar ne hamari taraf phul phenke
qabristan ne hamari taraf ek qabr phenki
mujhe nahin malum ki phul aur qabr
hamare us shaKHs ke hath kaise
lag gae jis shaKHs ko hum abhi
taKHti par zindagi likhna sikha rahe the
jald-bazon ne hamein itni bhi suhulat
nahin di ki hum ek maut ki wazeh taswir bana pate
koi nahin jaan paega ki kyon hamare ghar
mein ek frame baghair kisi taswir ke hamesha
ke liye rakh diya gaya hai
raat baDbaDa rahi hai aur hum apne sine par hath rakhe hue
baDh rahe hain ek aisi aawaz ki taraf jo aawaz
sham ke shor mein hamein puri tarah sunai nahin deti
aaj chand ko itni tabnaki ke sath raat ki baDbDahaT
ka sath nahin dena chahiye tha
aansuon ki ek qatar aaj parindon ke sath
sarhad ubur kar jaegi aur koi sipahi
aansuon ka passport check nahin karega
hum dekh rahe hain ki KHun ki ek dhaar
baisakhiyan tham kar hamari jaanib baDh rahi hai
aur kah rahi hai ki tum log itne zor se
apne dil ko patthar par kyon nahin paTaKHte ki
tumhaare dil ke TukDe bhi is bahaar
mein khilne wale phulon mein shumar ho jaen
ab KHun ki dhaar ko kaun batae ki kyon hum
apne sine par hath rakh kar ek aawaz
ki taraf baDhte chale rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.