shishe ka bulb
vo shīshe kā bulb aur koī us ke andar
bahut hāñptā gol dīvāroñ ko
jaldī jaldī khurachtā
phisaltā hai girtā hai uThtā hai fauran
musalsal khurachte hī jaatā hai lekin
use Dar hai sar par
laTaktā huā dhātī lachhā kahīñ jal uThā to
use bhuun degā
magar itnī vahshat meñ us ko ḳhabar kyā
ki lachhā salāmat
na ab barqī-rau us ke tāroñ meñ baaqī
dīvāreñ khurachte khurachte use shīshe ke qaid-ḳhāne
meñ be-jān lachchhe se Darnā nahīñ hai
ab us bulb ke taar meñ barqī-rau hī nahīñ hai
wo shishe ka bulb aur koi us ke andar
bahut hanpta gol diwaron ko
jaldi jaldi khurachta
phisalta hai girta hai uThta hai fauran
musalsal khurachte hi jata hai lekin
use Dar hai sar par
laTakta hua dhati lachha kahin jal uTha to
use bhun dega
magar itni wahshat mein us ko KHabar kya
ki lachha salamat
na ab barqi-rau us ke taron mein baqi
diwaren khurachte khurachte use shishe ke qaid-KHane
mein be-jaan lachchhe se Darna nahin hai
ab us bulb ke tar mein barqi-rau hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.