shishe ka karb
abhī to maiñ shaffāf shīsha huuñ ma.asūm huuñ be-riyā huuñ
koī rang mujh meñ nahīñ hai
koī ruup merā nahīñ hai
kiran jo bhī aa.egī mere badan tak
mire paar ho jā.egī be-mahābā
koī rang apnā maiñ us ko na dūñgā
abhī to maiñ be-rang-o-be-rūp huuñ be-riyā huuñ
abhī dukh sahūñgā
lahū zindagī kā maiñ bharūñgā
sharāroñ se kuchh ruup lūñgā
añdheroñ se kuchh dhuup lūñgā
abhī to zarā dostoñ kī mudārāt kar luuñ
zarā hādsoñ se mulāqāt kar luuñ
ki ālūda ho jā.ūñgā jab se sīmāb-e-ġham se
to ā.īna ban kar
tumhārī ināyāt lauTā ke vāpas tumhīñ ko
subuk-dosh ho jā.ūñgā maiñ
abhi to main shaffaf shisha hun masum hun be-riya hun
koi rang mujh mein nahin hai
koi rup mera nahin hai
kiran jo bhi aaegi mere badan tak
mere par ho jaegi be-mahaba
koi rang apna main us ko na dunga
abhi to main be-rang-o-be-rup hun be-riya hun
abhi dukh sahunga
lahu zindagi ka main bharunga
shararon se kuchh rup lunga
andheron se kuchh dhup lunga
abhi to zara doston ki mudaraat kar lun
zara hadson se mulaqat kar lun
ki aaluda ho jaunga jab se simab-e-gham se
to aaina ban kar
tumhaari inayat lauTa ke wapas tumhin ko
subuk-dosh ho jaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.