shikayat
ḳhudāyā sab ko judā tū ne zindagī baḳhshī
kalī ko loch diyā phuul ko hañsī baḳhshī
jaḌe hazāroñ guhar kahkashāñ kī zulfoñ meñ
sahar ko nuur diyā shab ko chāñdnī baḳhshī
ru-pahlī sub.h ke lab ko atā kiye naġhme
sunahrī shaam ke hoñToñ ko bāñsurī baḳhshī
zamīñ pe ġhuncha-o-gul ko mahak ināyat kī
falak pe māh-o-surayyā ko raushnī baḳhshī
har ek zarra-e-sahrā ko dī jilā tū ne
har ek qatra-e-shabnam ko aarsī baḳhshī
tarā.iyoñ meñ maveshī charāne vāloñ ko
galā surīlā diyā raag rāgnī baḳhshī
kisān menD pe baiThe jo dhuup khāte haiñ
unheñ zamīn kī daulat harī-bharī baḳhshī
shabāb-o-husn kī sāġhar-ba-kaf hasīna ko
laboñ kī nāzukī zulfoñ kī barhamī baḳhshī
javāniyoñ kī hasīñ niim baaz āñkhoñ ko
sharāb thoḌī sī dī kuchh ġhunūdgī baḳhshī
jo mutriba ko atā kī sadā-e-dā.ūdī
to rind-e-mast ko mīnā-e-ahmarī baḳhshī
jo shā.iroñ pe suḳhan kī kitāb nāzil kī
to vā.izoñ ko zamīñ kī payambarī baḳhshī
vo jin kā jhuuT hai pesha fareb-e-maz.hab hai
tirī ḳhudā.ī ne un ko tavangarī baḳhshī
hazāroñ murtashiyoñ ko tirī mashiyyat ne
tilā.ī baḳht diyā ziist nuqra.ī baḳhshī
buland-o-surḳh makānoñ meñ rahne vāloñ ko
surūr-o-kaif ināyat kiyā ḳhushī baḳhshī
magar azal meñ ḳhatā kyā 'salām' ne kī thī
ki is ġharīb kī qismat ko muflisī baḳhshī
KHudaya sab ko juda tu ne zindagi baKHshi
kali ko loch diya phul ko hansi baKHshi
jaDe hazaron guhar kahkashan ki zulfon mein
sahar ko nur diya shab ko chandni baKHshi
ru-pahli subh ke lab ko ata kiye naghme
sunahri sham ke honTon ko bansuri baKHshi
zamin pe ghuncha-o-gul ko mahak inayat ki
falak pe mah-o-surayya ko raushni baKHshi
har ek zarra-e-sahra ko di jila tu ne
har ek qatra-e-shabnam ko aarsi baKHshi
taraiyon mein maweshi charane walon ko
gala surila diya rag ragni baKHshi
kisan meinD pe baiThe jo dhup khate hain
unhen zamin ki daulat hari-bhari baKHshi
shabab-o-husn ki saghar-ba-kaf hasina ko
labon ki nazuki zulfon ki barhami baKHshi
jawaniyon ki hasin nim baz aankhon ko
sharab thoDi si di kuchh ghunudgi baKHshi
jo mutriba ko ata ki sada-e-daudi
to rind-e-mast ko mina-e-ahmari baKHshi
jo shairon pe suKHan ki kitab nazil ki
to waizon ko zamin ki payambari baKHshi
wo jin ka jhuT hai pesha fareb-e-mazhab hai
teri KHudai ne un ko tawangari baKHshi
hazaron murtashiyon ko teri mashiyyat ne
tilai baKHt diya zist nuqrai baKHshi
buland-o-surKH makanon mein rahne walon ko
surur-o-kaif inayat kiya KHushi baKHshi
magar azal mein KHata kya 'salam' ne ki thi
ki is gharib ki qismat ko muflisi baKHshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.