shikayat
maiñ us vaqt kitne baras kī thī ab yaad aatā nahīñ
baras tiin samjho ki chaar
magar maiñ ye achchhī tarah jāntī huuñ maiñ ḳhush thī
aur ḳhair se
maiñ janam aur maran se to nā-āshnā thī
maiñ hañs-khel kar zindagī jī rahī thī
akele akele se ik dost taarā ke saath
taarā taarā faqat ek taarā na thā
vo bhaa.ī thā aur khelā kartā thā jo saath mere
ham ne mil-jul kar hī us kī ḳhud chalne vaalī
na.ī car kā purza purza sabhī khol kar dekh Daalā
udhar apnī tashvīsh bāham ye sab jānñe kī
mirī ḳhūbsūrat vo guḌiyā
apnī jādū-bharī niilī āñkhoñ ko jhaT kholtī
band kartī thī ho jaatī andhī
angrezī abjad bhī maiñ ne usī dost ke saath daryāft kī thī
riyāzī samajhne kī kulfat bhī bardāsht kī thī
achānak mirī zindagī meñ jo ek aise tūfān ne aa ke maarā
vo nanhā aur adh-khilā phuul maslā gayā
maiñ kho baiThī khel aur kuud kā ek sāthī
vo taarā mujhe chhoḌ kar chal diyā duur jaane kahāñ
jānñā chāhā maiñ ne ki ye kyā huā
merā sāthī akelā mujhe chhoḌ kar haa.e kyoñ chal diyā
javāb aaya vo thā ḳhudā ko bahut hī pyārā
pyāre ḳhudā ye hai insāf kaisā
ki maiñ bhī to bhaa.ī se kartī thī pyaar
chāhtī thī usī ke saath rahnā
abhī tak vo bāteñ haiñ jo apnī daryāft meñ haif aa.ī nahīñ haiñ
aur aise raste bhī haiñ justujū jin kī baaqī abhī rah ga.ī hai
pyāre ḳhudā tum ġharaz-mand nikle
faqat apne baare meñ sochā hamārā na aaya tumheñ kuchh ḳhayāl
ai ḳhudā
tum ne ḳhvāboñ umīdoñ tamannāoñ ko hī hamārī masal Daalā hai
tum ne mujh se mirā ek hissa judā kar liyā hai
maiñ is ke liye tum ko ab chāhūñ karnā muaaf
magar ye batā de ki kaise batā de ki kaise
main us waqt kitne baras ki thi ab yaad aata nahin
baras tin samjho ki chaar
magar main ye achchhi tarah jaanti hun main KHush thi
aur KHair se
main janam aur maran se to na-ashna thi
main hans-khel kar zindagi ji rahi thi
akele akele se ek dost tara ke sath
tara tara faqat ek tara na tha
wo bhai tha aur khela karta tha jo sath mere
hum ne mil-jul kar hi us ki KHud chalne wali
nai car ka purza purza sabhi khol kar dekh Dala
udhar apni tashwish baham ye sab jaanne ki
meri KHubsurat wo guDiya
apni jadu-bhari nili aankhon ko jhaT kholti
band karti thi ho jati andhi
angrezi abjad bhi main ne usi dost ke sath daryaft ki thi
riyazi samajhne ki kulfat bhi bardasht ki thi
achanak meri zindagi mein jo ek aise tufan ne aa ke mara
wo nanha aur adh-khila phul masla gaya
main kho baiThi khel aur kud ka ek sathi
wo tara mujhe chhoD kar chal diya dur jaane kahan
jaanna chaha main ne ki ye kya hua
mera sathi akela mujhe chhoD kar hae kyon chal diya
jawab aaya wo tha KHuda ko bahut hi pyara
pyare KHuda ye hai insaf kaisa
ki main bhi to bhai se karti thi pyar
chahti thi usi ke sath rahna
abhi tak wo baaten hain jo apni daryaft mein haif aai nahin hain
aur aise raste bhi hain justuju jin ki baqi abhi rah gai hai
pyare KHuda tum gharaz-mand nikle
faqat apne bare mein socha hamara na aaya tumhein kuchh KHayal
ai KHuda
tum ne KHwabon umidon tamannaon ko hi hamari masal Dala hai
tum ne mujh se mera ek hissa juda kar liya hai
main is ke liye tum ko ab chahun karna muaf
magar ye bata de ki kaise bata de ki kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.