shikast
aaj savere aañkh khulī to dekhā
sabze par us chiḌiyā kī laash paḌī thī
bholī chiḌiyā roz savere
khiḌkī ke shīshoñ par aa kar
apne 'aks pe choñch se Thoñgeñ mārtī
ḳhud se laḌtī rahtī thī
ḳhud se laḌnā sahl nahīñ hai
ḳhud se laḌ kar jītnā bhī āsān nahīñ hai
chiḌiyā shāyad haar ga.ī hai
aaj sawere aankh khuli to dekha
sabze par us chiDiya ki lash paDi thi
bholi chiDiya roz sawere
khiDki ke shishon par aa kar
apne 'aks pe chonch se Thongen marti
KHud se laDti rahti thi
KHud se laDna sahl nahin hai
KHud se laD kar jitna bhi aasan nahin hai
chiDiya shayad haar gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.