shikast-e-ana
aaj kī raat bahut sard bahut kaalī hai
tīrgī aise lipaTtī hai havā-e-ġham se
apne bichhḌe hue sājan se milī hai jaise
mish.al-e-ḳhvāb kuchh is taur bujhī hai jaise
dard ne jāgtī āñkhoñ kī chamak khā lī hai
shauq kā naam na ḳhvāhish kā nishāñ hai koī
barf kī sil ne mire dil kī jagah pā lī hai
ab dhundalke bhī nahīñ zīnat-e-chashm-e-be-ḳhvāb
aas kā rūp-mahl dast-e-tahī hai jaise
bahr-e-imkān pe kaa.ī sī jamī hai jaise
aise lagtā hai ki jaise mirā ma.amūra-e-jāñ
kisī sailāb-zada ghar kī zabūñ-hālī hai
na koī dost na taarā ki jise batlā.ūñ
is tarah TuuT ke bikhrā hai anā kā shīsha
merā pindār mire dil ke liye gaalī hai
nabz tāroñ kī tarah Duub rahī hai jaise!
ġham kī pinhā.ī samundar se baḌī hai jaise!
aañkh sahrāoñ ke dāman kī tarah ḳhālī hai
vahshat-e-jāñ kī taraf dekh ke yuuñ lagtā hai
maut is tarah ke jiine se bhalī hai jaise
tīrgī chhaTne lagī, vaqt rukegā kyūñ-kar
sub.h-e-ḳhurshīd liye dar pe khaḌī hai jaise
dāġh-e-rusvā.ī chhupāne se nahīñ chhup saktā
ye to yuuñ hai ki jabīñ bol rahī hai jaise!
aaj ki raat bahut sard bahut kali hai
tirgi aise lipaTti hai hawa-e-gham se
apne bichhDe hue sajan se mili hai jaise
mishal-e-KHwab kuchh is taur bujhi hai jaise
dard ne jagti aankhon ki chamak kha li hai
shauq ka nam na KHwahish ka nishan hai koi
barf ki sil ne mere dil ki jagah pa li hai
ab dhundalke bhi nahin zinat-e-chashm-e-be-KHwab
aas ka rup-mahl dast-e-tahi hai jaise
bahr-e-imkan pe kai si jami hai jaise
aise lagta hai ki jaise mera mamura-e-jaan
kisi sailab-zada ghar ki zabun-haali hai
na koi dost na tara ki jise batlaun
is tarah TuT ke bikhra hai ana ka shisha
mera pindar mere dil ke liye gali hai
nabz taron ki tarah Dub rahi hai jaise!
gham ki pinhai samundar se baDi hai jaise!
aankh sahraon ke daman ki tarah KHali hai
wahshat-e-jaan ki taraf dekh ke yun lagta hai
maut is tarah ke jine se bhali hai jaise
tirgi chhaTne lagi, waqt rukega kyun-kar
subh-e-KHurshid liye dar pe khaDi hai jaise
dagh-e-ruswai chhupane se nahin chhup sakta
ye to yun hai ki jabin bol rahi hai jaise!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.