shikast-e-badan
udaas sī thī vo shaam kitnī
ki us kī taaza lahad pe jis dam
ba-chashm-e-nam maiñ khaḌā huā thā
babūl-e-kohna kī pattiyoñ meñ
ik TimTimātā huā sitāra
na jaane kaise Thahar gayā thā
dhaḌakte dil se
maiñ sochtā thā
thī kaisī nāzuk vo merī sāthī
mizāj kitnā thā us kā ūñchā
ki jāma-zebī thī ḳhatm us par
mudām ḳhushbū meñ mahkī rahtī
vo aaj lekin
qazā kī zad par
paḌī huī hai ḳhamosh kaise
hazār-hā kankaroñ ke nīche
kise ḳhabar hai ki hashr kyā hai
badan kā us ke
badan jo sīmīñ thā
marmarīñ thā
udas si thi wo sham kitni
ki us ki taza lahad pe jis dam
ba-chashm-e-nam main khaDa hua tha
babul-e-kohna ki pattiyon mein
ek TimTimata hua sitara
na jaane kaise Thahar gaya tha
dhaDakte dil se
main sochta tha
thi kaisi nazuk wo meri sathi
mizaj kitna tha us ka uncha
ki jama-zebi thi KHatm us par
mudam KHushbu mein mahki rahti
wo aaj lekin
qaza ki zad par
paDi hui hai KHamosh kaise
hazar-ha kankaron ke niche
kise KHabar hai ki hashr kya hai
badan ka us ke
badan jo simin tha
marmarin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.