shikast-e-eatibar
vahī chashm-e-nam mujhe khojtī
vahī hoñT mujh ko pukārte
vahī haath mere talab-zada
vahī chāñd māthā vo raushnī
vahī sahar kā rasā lams bhī
tujhe shab ke saath thā lauTnā
magar aah dil kā ye faisla
mirā e'timād alam-zada
ai mire aziim tilism-gar
mujhe izn de de rihā.ī kā
wahi chashm-e-nam mujhe khojti
wahi honT mujh ko pukarte
wahi hath mere talab-zada
wahi chand matha wo raushni
wahi sahar ka rasa lams bhi
tujhe shab ke sath tha lauTna
magar aah dil ka ye faisla
mera e'timad alam-zada
ai mere azim tilism-gar
mujhe izn de de rihai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.