shikast-e-husn
kho.e hue haiñ sar ko jhukā.e hue haiñ aap
jaise ki bār-e-ishq uThā.e hue haiñ aap
dil meñ kasak nigah meñ jhijak tan meñ irti.āsh
rangīniyoñ meñ aaj nahā.e hue haiñ aap
buuTā sā qad vo bholī sī sūrat badan gudāz
uf kitnī dil-farebī chhupā.e hue haiñ aap
rangīnī-e-jahāñ meñ ulajhtī nahīñ nigāh
allāh kis ko apnā banā.e hue haiñ aap
kis ko talāsh kartī hai bhaTkī huī nigāh
kis par sukūn-e-qalb luTā.e hue haiñ aap
ye kis kī yaad siine meñ letī hai chuTkiyāñ
ye kis kī dhun meñ ḳhud ko bhulā.e hue haiñ aap
kis ke liye ye āñkhoñ meñ aañsū jigar meñ dard
kis kā ḳhayāl dil se lagā.e hue haiñ aap
aañsū ke kāñpte hue qatre meñ kaun hai
sahmī nazar meñ kis ko chhupā.e hue haiñ aap
kis ke bhare haiñ rang ye qaus-e-hayāt meñ
kis ko nafas nafas meñ chhupā.e hue haiñ aap
kyā mil ga.iiñ 'habīb' se āñkheñ ḳhatā muaaf
jaise shikast ishq se khaa.e hue haiñ aap
khoe hue hain sar ko jhukae hue hain aap
jaise ki bar-e-ishq uThae hue hain aap
dil mein kasak nigah mein jhijak tan mein irtiash
ranginiyon mein aaj nahae hue hain aap
buTa sa qad wo bholi si surat badan gudaz
uf kitni dil-farebi chhupae hue hain aap
rangini-e-jahan mein ulajhti nahin nigah
allah kis ko apna banae hue hain aap
kis ko talash karti hai bhaTki hui nigah
kis par sukun-e-qalb luTae hue hain aap
ye kis ki yaad sine mein leti hai chuTkiyan
ye kis ki dhun mein KHud ko bhulae hue hain aap
kis ke liye ye aankhon mein aansu jigar mein dard
kis ka KHayal dil se lagae hue hain aap
aansu ke kanpte hue qatre mein kaun hai
sahmi nazar mein kis ko chhupae hue hain aap
kis ke bhare hain rang ye qaus-e-hayat mein
kis ko nafas nafas mein chhupae hue hain aap
kya mil gain 'habib' se aankhen KHata muaf
jaise shikast ishq se khae hue hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.