shikast-e-jam
gir gayā ye duudh kā paimāna mere haath se
ho ga.ī ik laġhzish-e-mastāna mere haath se
yuuñ zamīñ par jā girā hāthoñ se mere chhūT kar
gir paḌe gardūñ se jaise koī taarā TuuT kar
ġhash use aayā kuchh aisā khā ke chakkar gir paḌā
haath se mai-ḳhvār ke kyuuñ aaj sāġhar gir paḌā
shāḳh-e-gul se farsh par bulbul taḌap kar gir ga.ī
ye girā nīche ki mujh se chashm-e-sāqī phir ga.ī
jis tarah siine ke andar qalb-e-muztar be-qarār
ho gayā hāthoñ meñ mere ye bhī aa kar be-qarār
mere baa.is apnī qismat ko ye āḳhir ro gayā
aa.ī ik āvāz jhan sī aur ThanDā ho gayā
us ke girne se yahāñ ik choT dil par aa ga.ī
jo mujhe kuchh kah ga.ī batlā ga.ī sikhlā ga.ī
ya.anī ham bhī dast-e-qudrat meñ misāl-e-jām haiñ
aur giraftār-e-balā-e-gardish-e-ayyām haiñ
jaam vo mash.hūr hai jo zindagī ke naam se
jo bharā hai shīr-e-rāhat se mai-e-ālām se
ek din is haath se bhī chhūT kar rah jā.egā
is kaTore kī tarah jo TuuT kar rah jā.egā
gir gaya ye dudh ka paimana mere hath se
ho gai ek laghzish-e-mastana mere hath se
yun zamin par ja gira hathon se mere chhuT kar
gir paDe gardun se jaise koi tara TuT kar
ghash use aaya kuchh aisa kha ke chakkar gir paDa
hath se mai-KHwar ke kyun aaj saghar gir paDa
shaKH-e-gul se farsh par bulbul taDap kar gir gai
ye gira niche ki mujh se chashm-e-saqi phir gai
jis tarah sine ke andar qalb-e-muztar be-qarar
ho gaya hathon mein mere ye bhi aa kar be-qarar
mere bais apni qismat ko ye aaKHir ro gaya
aai ek aawaz jhan si aur ThanDa ho gaya
us ke girne se yahan ek choT dil par aa gai
jo mujhe kuchh kah gai batla gai sikhla gai
yani hum bhi dast-e-qudrat mein misal-e-jam hain
aur giraftar-e-bala-e-gardish-e-ayyam hain
jam wo mashhur hai jo zindagi ke nam se
jo bhara hai shir-e-rahat se mai-e-alam se
ek din is hath se bhi chhuT kar rah jaega
is kaTore ki tarah jo TuT kar rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.