shikast-e-KHwab
tum ne hī ye baat kahī thī
ab ham kabhī na bichhḌeñge
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
sub.h kā sapnā agar hai sachchā
saath hamārā agar hai sachchā
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
ulfat kī lambī manzil par
saath mire tum aa.e chal kar
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
tum ne merā saath diyā thā
mere haath meñ haath diyā thā
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
qaul diyā thā saath chaleñge
dukh agnī meñ saath jaleñge
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
ham the jīvan ke do dhāre
kabhī ruke na himmat haare
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
phir ham kaise bichhaḌ ga.e
tum ne hi ye baat kahi thi
ab hum kabhi na bichhDenge
phir hum kaise bichhaD gae
phir hum kaise bichhaD gae
subh ka sapna agar hai sachcha
sath hamara agar hai sachcha
phir hum kaise bichhaD gae
phir hum kaise bichhaD gae
ulfat ki lambi manzil par
sath mere tum aae chal kar
phir hum kaise bichhaD gae
phir hum kaise bichhaD gae
tum ne mera sath diya tha
mere hath mein hath diya tha
phir hum kaise bichhaD gae
phir hum kaise bichhaD gae
qaul diya tha sath chalenge
dukh agni mein sath jalenge
phir hum kaise bichhaD gae
phir hum kaise bichhaD gae
hum the jiwan ke do dhaare
kabhi ruke na himmat haare
phir hum kaise bichhaD gae
phir hum kaise bichhaD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.