shikast-e-saz
maiñ ne gul-rez bahāroñ kī tamannā kī thī
mujhe afsurda nigāhoñ ke sivā kuchh na milā
chand sahmī huī aahoñ ke sivā kuchh na milā
jagmagāte hue tāroñ kī tamannā kī thī
maiñ ne mauhūm umīdoñ kī panāheñ DhūñDīñ
shiddat-e-yās meñ mub.ham sā ishāra na milā
Dagmagāte hue qadmoñ ko sahārā na milā
haa.e kis dasht-e-balā-ḳhez meñ rāheñ DhūñDeñ
ab fusūñ-sāz bahāroñ se mujhe kyā matlab
aaj hī merī nigāhoñ meñ vo manzar tauba
maiñ ne dekhe haiñ lapakte hue nashtar tauba
ḳhuld bar-dosh nazāroñ se mujhe kyā matlab
āsmāñ nuur ke naġhmāt se ma.amūr sahī
maiñ ne ghaTtī huī chīḳhoñ ke sune haiñ nauhe
haa.e vo ashk jo palkoñ se Dhalak bhī na sake
zindagī husn-o-javānī se abhī chuur sahī
kabhī zau-pāsh sitāroñ kī tamannā thī mujhe
aaj zarroñ ko bhī maqsūd banā rakkhā hai
aaj kāñToñ ko kaleje se lagā rakkhā hai
kabhī gul-rez bahāroñ kī tamannā thī mujhe
main ne gul-rez bahaaron ki tamanna ki thi
mujhe afsurda nigahon ke siwa kuchh na mila
chand sahmi hui aahon ke siwa kuchh na mila
jagmagate hue taron ki tamanna ki thi
main ne mauhum umidon ki panahen DhunDin
shiddat-e-yas mein mubham sa ishaara na mila
Dagmagate hue qadmon ko sahaara na mila
hae kis dasht-e-bala-KHez mein rahen DhunDen
ab fusun-saz bahaaron se mujhe kya matlab
aaj hi meri nigahon mein wo manzar tauba
main ne dekhe hain lapakte hue nashtar tauba
KHuld bar-dosh nazaron se mujhe kya matlab
aasman nur ke naghmat se mamur sahi
main ne ghaTti hui chiKHon ke sune hain nauhe
hae wo ashk jo palkon se Dhalak bhi na sake
zindagi husn-o-jawani se abhi chur sahi
kabhi zau-pash sitaron ki tamanna thi mujhe
aaj zarron ko bhi maqsud bana rakkha hai
aaj kanTon ko kaleje se laga rakkha hai
kabhi gul-rez bahaaron ki tamanna thi mujhe
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 255)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.