shikast-e-saba
( bhopal ke gas hādse se muta.assir ho kar )
na.ī jihatoñ kī shāḳhoñ par shagūfe
fasīloñ par jabīñ rakh dī sabā ne
shikasta dar pe dastak dī sabā ne
sabā jo raqs ke manzar dikhā.e
sabā jo giit gā gā kar sunā.e
sabā ke ijz ko jaanā hai kis ne
sabā kī barchhiyāñ khaa.ī haiñ kis ne
magar tū dast-e-imkāñ se pare thī
tirā dast-e-hasīñ thā dast-e-qātil
na shab-ḳhūñ se mafar ham ko na tum ko
ram-e-chāra-garāñ kā zikr kaisā
mare lekin na rut aa.ī kafan kī
zamāna hai zamāna chal rahā hai
( bhopal ke gas hadse se mutassir ho kar )
nai jihaton ki shaKHon par shagufe
fasilon par jabin rakh di saba ne
shikasta dar pe dastak di saba ne
saba jo raqs ke manzar dikhae
saba jo git ga ga kar sunae
saba ke ijz ko jaana hai kis ne
saba ki barchhiyan khai hain kis ne
magar tu dast-e-imkan se pare thi
tera dast-e-hasin tha dast-e-qatil
na shab-KHun se mafar hum ko na tum ko
ram-e-chaara-garan ka zikr kaisa
mare lekin na rut aai kafan ki
zamana hai zamana chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.