shikast-e-zindan ka KHwab
shikast-e-zindāñ kā ḳhvāb maiñ ne kabhī na dekhā ki sach yahī hai
jo beḌiyāñ paañv meñ paḌī haiñ vahī asāsa hai zindagī kā
vahīñ se mere shu.ūr ne pā.īñ āgahī kī na.ī tarañgeñ
vahīñ se iz.hār ke vasīle vahīñ se fan ke na.e taqāze
vahīñ se jiine ke hausle bhī vahīñ se rindī ke valvale bhī
har ek aahaT pe sāneha ik nayā guzartā hai lamha lamha
maiñ chāhatoñ kī naqīb ban kar har ek qaidī se pūchhtī huuñ
mile rihā.ī to kyā karoge jo chhūT jaao to kyā karoge
ki zindagī anginat savāloñ ko sāmne le ke aa ga.ī hai
har ek chehra khulā khulā sā har ek jazba Darā Darā sā
jahāñ meñ jaise haiñ jis jagah haiñ vahīñ se manzil kā rāsta hai
jo beḌiyāñ paañv meñ paḌī haiñ vahī asāsa hai zindagī kā
shikast-e-zindan ka KHwab main ne kabhi na dekha ki sach yahi hai
jo beDiyan panw mein paDi hain wahi asasa hai zindagi ka
wahin se mere shuur ne pain aagahi ki nai tarangen
wahin se izhaar ke wasile wahin se fan ke nae taqaze
wahin se jine ke hausle bhi wahin se rindi ke walwale bhi
har ek aahaT pe saneha ek naya guzarta hai lamha lamha
main chahaton ki naqib ban kar har ek qaidi se puchhti hun
mile rihai to kya karoge jo chhuT jao to kya karoge
ki zindagi anginat sawalon ko samne le ke aa gai hai
har ek chehra khula khula sa har ek jazba Dara Dara sa
jahan mein jaise hain jis jagah hain wahin se manzil ka rasta hai
jo beDiyan panw mein paDi hain wahi asasa hai zindagi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.