shikast
dīvāreñ darvāze darīche gum-sum haiñ
bāteñ karte bolte kamre gum-sum haiñ
hañstī shor machātī galiyāñ chup chup haiñ
roz chahakne vaalī chiḌiyāñ chup chup haiñ
paas paḌosī milne aanā bhuul ga.e
bartan aapas meñ Takrānā bhuul ga.e
almārī ne aa.heñ bharnā chhoḌ diyā
sandūqoñ ne shikva karnā chhoḌ diyā
miTThū ''bī-bī roTī do'' kahtā hī nahīñ
suunī sej pe dil bas meñ rahtā hī nahīñ
singer kī āvāz ko kaan taraste haiñ
ghar meñ jaise sab gūñge haiñ baste haiñ
tum kyā bichhḌe samay suhāne biit ga.e
lauT aao maiñ haarā lo tum jiit ga.e!
diwaren darwaze dariche gum-sum hain
baaten karte bolte kamre gum-sum hain
hansti shor machati galiyan chup chup hain
roz chahakne wali chiDiyan chup chup hain
pas paDosi milne aana bhul gae
bartan aapas mein Takrana bhul gae
almari ne aahen bharna chhoD diya
sanduqon ne shikwa karna chhoD diya
miTThu bi-bi roTi do kahta hi nahin
suni sej pe dil bas mein rahta hi nahin
singer ki aawaz ko kan taraste hain
ghar mein jaise sab gunge hain baste hain
tum kya bichhDe samay suhane bit gae
lauT aao main haara lo tum jit gae!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 54)
- Author : Mohd Alvi
- Publication : Urdu Sahitya Acadami, Gujrat (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.