shikast
ufuq kī muñDeroñ pe
din kā thakā māñda sūraj khaḌā thā
aur us kā badan surḳh shāloñ kī zad meñ jhulastā rahā
vo chup-chāp gum-sum
ḳhalāoñ ko taktā rahā
ek gūñgā tamāshā.ī ban kar
yakāyak ḳhalāoñ kī pahnā.iyoñ meñ
pas-e-parda-e-shab se
ik chīḳh ubhrī
vo maġhrūr sūraj
jo apnī takmīlī shuāoñ ke zahrīle kāñToñ se
ma.asūm dhartī kā siina khurachtā rahā thā
kisī sard patthar kī mānind chup ho gayā
añdheroñ kī yalġhār se
dam-ba-ḳhud rah gayā
ufuq ki munDeron pe
din ka thaka manda suraj khaDa tha
aur us ka badan surKH shaalon ki zad mein jhulasta raha
wo chup-chap gum-sum
KHalaon ko takta raha
ek gunga tamashai ban kar
yakayak KHalaon ki pahnaiyon mein
pas-e-parda-e-shab se
ek chiKH ubhri
wo maghrur suraj
jo apni takmili shuaon ke zahrile kanTon se
masum dharti ka sina khurachta raha tha
kisi sard patthar ki manind chup ho gaya
andheron ki yalghaar se
dam-ba-KHud rah gaya
- Book : shab khuun (7) (rekhta website) (Pg. 32)
- Edition : 1966
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.