shikwa
ai mire ishq batā aaj jafā-kāroñ ko
vādī-e-shauq se ham bhī to kabhī guzre the
kāsa-e-dil meñ sajā.e hue armānoñ ko
barg-e-gul haath meñ aur sarv-o-saman dāman meñ
ham surūr-e-ġham-e-jānāñ meñ bahut ġhaltāñ the
ham ko ma.alūm nahīñ thā kahīñ aisā to nahīñ
garmi-e-ishq jo baḌhtī hai to jal jaate haiñ
barg-o-gul sarv-o-saman gul ke muraqqe saare
yā kahīñ karda-o-nā-karda gunāhoñ ke sabab
in jafāoñ ko uThāne ke sazā-vār haiñ ham
ham gunāhgār siyahkār ḳhatā-kār sahī
hāla-e-rahm-o-karam se tire bāhar to nahīñ
imtihāñ aur sahī tū to magar vāqif hai
dil jo siine meñ dhaḌaktā hai vo patthar to nahīñ
ai mere ishq bata aaj jafa-karon ko
wadi-e-shauq se hum bhi to kabhi guzre the
kasa-e-dil mein sajae hue armanon ko
barg-e-gul hath mein aur sarw-o-saman daman mein
hum surur-e-gham-e-jaanan mein bahut ghaltan the
hum ko malum nahin tha kahin aisa to nahin
garmi-e-ishq jo baDhti hai to jal jate hain
barg-o-gul sarw-o-saman gul ke muraqqe sare
ya kahin karda-o-na-karda gunahon ke sabab
in jafaon ko uThane ke saza-war hain hum
hum gunahgar siyahkar KHata-kar sahi
haala-e-rahm-o-karam se tere bahar to nahin
imtihan aur sahi tu to magar waqif hai
dil jo sine mein dhaDakta hai wo patthar to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.