shikwa
kyoñ na apnī hastī-e-nāshād kā shikvā karūñ
ranj-o-ġham ghere hoñ jab mujh ko to maiñ bhī kyā karūñ
merī qismat meñ likhī hai ḳhār-e-sahrā kī ḳhalish
kis tavaqqo par tamannā-e-gul-e-rā.anā karūñ
sabr kā phal log kahte haiñ milegā ek din
aah kab tak intizār-e-va.ada-e-fardā karūñ
kaun kartā hai mudāvā ḳhātir-e-nāshād kā
apnī mahrūmī kā kis ke sāmne charchā karūñ
dil ke dāġhoñ ko samajh luuñ kis tarah gulhā-e-tar
ġham se kaise sāz-o-sāmān-e-ḳhushī paidā karūñ
gardish-e-daurāñ se kah do is pe maiñ raazī nahīñ
chand saa.at muskurā kar umr-bhar royā karūñ
maiñ azal se darmiyān-e-ranj-o-rāhat huuñ asiir
ġham ko apnā.ūñ ki rāhat ko karūñ to kyā karūñ
ek muddat se pareshāñ ḳhātir-e-nāshād hai
sochtā huuñ pāra-hā-e-dil ko phir yakjā karūñ
ek hālat par kabhī rahtā nahīñ mujh ko qarār
har sukūñ ke baa'd ye hai aarzū taḌpā karūñ
vo sukūn-e-mustaqil hai ye hai paiham iztirāb
zindagānī kā gila yā maut kā shikvā karūñ
kyon na apni hasti-e-nashad ka shikwa karun
ranj-o-gham ghere hon jab mujh ko to main bhi kya karun
meri qismat mein likhi hai KHar-e-sahra ki KHalish
kis tawaqqo par tamanna-e-gul-e-raana karun
sabr ka phal log kahte hain milega ek din
aah kab tak intizar-e-wada-e-farda karun
kaun karta hai mudawa KHatir-e-nashad ka
apni mahrumi ka kis ke samne charcha karun
dil ke daghon ko samajh lun kis tarah gulha-e-tar
gham se kaise saz-o-saman-e-KHushi paida karun
gardish-e-dauran se kah do is pe main raazi nahin
chand saat muskura kar umr-bhar roya karun
main azal se darmiyan-e-ranj-o-rahat hun asir
gham ko apnaun ki rahat ko karun to kya karun
ek muddat se pareshan KHatir-e-nashad hai
sochta hun para-ha-e-dil ko phir yakja karun
ek haalat par kabhi rahta nahin mujh ko qarar
har sukun ke ba'd ye hai aarzu taDpa karun
wo sukun-e-mustaqil hai ye hai paiham iztirab
zindagani ka gila ya maut ka shikwa karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.