shimla
log garmī meñ shimle jaate haiñ
ThanDe mausam kā lutf uThāte haiñ
kitnī shaffāf hai fazā is kī
kis qadar saaf hai havā is kī
uudī uudī ghaTā.eñ chhātī haiñ
ThanDī ThanDī havā.eñ aatī haiñ
abhī bādal haiñ aur abhī hai dhuup
dekho qudrat ke ye anokhe ruup
gar safā.ī ke haal ko dekheñ
aap shimle kī mall ko dekheñ
kitnī suthrī hai har dukān yahāñ
kitnā achchhā hai har makān yahāñ
hoTaloñ kī nafāsateñ dekho
koThiyoñ kī imārateñ dekho
sabza vaadī meñ lahlahātā hai
phirne vāloñ kā jī lubhātā hai
ūñche peḌoñ kī hai bahār yahāñ
haiñ khaḌe chiil devdār yahāñ
haiñ bulandī pe har makān se ye
baat karte haiñ āsmān se ye
bādal itne qarīb hote haiñ
pyaar se muñh zamīñ kā dhote haiñ
rāsta gar kahīñ se paate haiñ
band kamroñ meñ bhī ghus aate haiñ
yuuñ to har manzar is kā pyārā hai
raat kā aur hī nazāra hai
jab hoñ bijlī ke qumqume raushan
dekho us vaqt shimle kā joban
qumqume kyā haiñ kuchh sitāre haiñ
āsmāñ ne yahāñ utāre haiñ
sho.ale se uḌte haiñ fazāoñ meñ
sham.eñ āvāra haiñ havāoñ meñ
log garmi mein shimle jate hain
ThanDe mausam ka lutf uThate hain
kitni shaffaf hai faza is ki
kis qadar saf hai hawa is ki
udi udi ghaTaen chhati hain
ThanDi ThanDi hawaen aati hain
abhi baadal hain aur abhi hai dhup
dekho qudrat ke ye anokhe rup
gar safai ke haal ko dekhen
aap shimle ki mall ko dekhen
kitni suthri hai har dukan yahan
kitna achchha hai har makan yahan
hoTalon ki nafasaten dekho
koThiyon ki imaraten dekho
sabza wadi mein lahlahata hai
phirne walon ka ji lubhata hai
unche peDon ki hai bahaar yahan
hain khaDe chil dewdar yahan
hain bulandi pe har makan se ye
baat karte hain aasman se ye
baadal itne qarib hote hain
pyar se munh zamin ka dhote hain
rasta gar kahin se pate hain
band kamron mein bhi ghus aate hain
yun to har manzar is ka pyara hai
raat ka aur hi nazara hai
jab hon bijli ke qumqume raushan
dekho us waqt shimle ka joban
qumqume kya hain kuchh sitare hain
aasman ne yahan utare hain
shoale se uDte hain fazaon mein
shamen aawara hain hawaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.