shirkat
lā-mutanāhī lā-mutanāhī
silsile saare
ham ko in se kyā karnā hai
ham ko faqat itnā karnā hai
is sab lā-mutanāhī meñ se apnā kuchh mutanāhī chun kar
apne qalam kī zad se apnī nazar kī had tak
us meñ ik markūz tasalsul bhar denā hai
us ko phir se lā-mutanāhī kar denā hai
la-mutanahi la-mutanahi
silsile sare
hum ko in se kya karna hai
hum ko faqat itna karna hai
is sab la-mutanahi mein se apna kuchh mutanahi chun kar
apne qalam ki zad se apni nazar ki had tak
us mein ek markuz tasalsul bhar dena hai
us ko phir se la-mutanahi kar dena hai
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.