shoala-e-tarab
Interesting Fact
Calcutta, February 1960, Published: Bazm-e-Hind, Asansol
rone kī umr hai na sisakne kī umr hai
jām-e-nashāt ban ke chhalakne kī umr hai
shabnam kī buuñd pī ke chaTakne kī umr hai
gulshan meñ phuul ban ke mahakne kī umr hai
sad-marhabā ye gumrahī-e-shauq chashm-o-dil
haañ rāh-e-ārzū meñ bhaTakne kī umr hai
ik jurm hai ḳhayāl-o-tasavvur gunāh kā
ye umr sirf pī ke bahakne kī umr hai
dīvāna ban ke najd ke sahrā meñ ghūmiye
lailā kī justujū meñ bhaTakne kī umr hai
bechain kyuuñ ho ruuh kisī ek ke liye
har māh-vash pe jaan chhiḌakne kī umr hai
is daur-e-imbisāt meñ ba-hālat-e-junūñ
har kū-e-dilbarāñ meñ bhaTakne kī umr hai
lāzim nahīñ ki ḳhud ko bachātā phirūñ tamām
shīsha huuñ choT khā ke darakne kī umr hai
taskīñ vo de rahī haiñ par ai qalb-e-nā-subūr
tū aur bhī dhaḌak ki dhaḌakne kī umr hai
jab chal paḌā huuñ ghar se to manzil kī shart kyā
huuñ rah-navard-e-shauq bhaTakne kī umr hai
huuñ āftāb-e-tāza huā huuñ abhī tulūa
apne jahān-e-nau meñ chamakne kī umr hai
aivān o taḳht-o-tāj haiñ merī lapeT meñ
sho.ala huuñ maiñ ye mere bhaḌakne kī umr hai
'daurāñ' maiñ bazm-e-dost meñ chheḌūñ na kyuuñ ġhazal
ye zamzame ke din haiñ lahakne kī umr hai
rone ki umr hai na sisakne ki umr hai
jam-e-nashat ban ke chhalakne ki umr hai
shabnam ki bund pi ke chaTakne ki umr hai
gulshan mein phul ban ke mahakne ki umr hai
sad-marhaba ye gumrahi-e-shauq chashm-o-dil
han rah-e-arzu mein bhaTakne ki umr hai
ek jurm hai KHayal-o-tasawwur gunah ka
ye umr sirf pi ke bahakne ki umr hai
diwana ban ke najd ke sahra mein ghumiye
laila ki justuju mein bhaTakne ki umr hai
bechain kyun ho ruh kisi ek ke liye
har mah-wash pe jaan chhiDakne ki umr hai
is daur-e-imbisat mein ba-haalat-e-junun
har ku-e-dilbaran mein bhaTakne ki umr hai
lazim nahin ki KHud ko bachata phirun tamam
shisha hun choT kha ke darakne ki umr hai
taskin wo de rahi hain par ai qalb-e-na-subur
tu aur bhi dhaDak ki dhaDakne ki umr hai
jab chal paDa hun ghar se to manzil ki shart kya
hun rah-naward-e-shauq bhaTakne ki umr hai
hun aaftab-e-taza hua hun abhi tulua
apne jahan-e-nau mein chamakne ki umr hai
aiwan o taKHt-o-taj hain meri lapeT mein
shoala hun main ye mere bhaDakne ki umr hai
'dauran' main bazm-e-dost mein chheDun na kyun ghazal
ye zamzame ke din hain lahakne ki umr hai
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 155)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.