shoalon ki baraat
har na.ī shaam nayā ḳhvāb sajātī jaa.e
ḳhvāb ik sail-e-fuġhāñ sho.ala-e-ġham
ḳhvāb ik sang-e-sharar-bār savād-e-mātam
ḳhvāb jo ḳhvāhish-e-tafsīr ko tanhā.ī kī sāzish samjhe
ḳhvāb jo fikr-e-guhar-bār ko fānūs kī gardish samjhe
chhan kī āvāz ke saath
tham ga.e saaz ke haath
aur phir chashm-e-sahar ne dekhā
ik na.ī shaam chalī aa.ī hai phir ḳhvāb liye
phir vahī silsila-e-sūd-o-ziyāñ
raat aa.ī bhī nahīñ
raaz hai larzāñ larzāñ
aur jab aa.egī raat
kaun Thahregā yahāñ dekhne
sho.aloñ kī barāt
har nai sham naya KHwab sajati jae
KHwab ek sail-e-fughan shoala-e-gham
KHwab ek sang-e-sharar-bar sawad-e-matam
KHwab jo KHwahish-e-tafsir ko tanhai ki sazish samjhe
KHwab jo fikr-e-guhar-bar ko fanus ki gardish samjhe
chhan ki aawaz ke sath
tham gae saz ke hath
aur phir chashm-e-sahar ne dekha
ek nai sham chali aai hai phir KHwab liye
phir wahi silsila-e-sud-o-ziyan
raat aai bhi nahin
raaz hai larzan larzan
aur jab aaegi raat
kaun Thahrega yahan dekhne
shoalon ki baraat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.