shor-e-barbat-o-nai
pahlī āvāz
ab sa.ī kā imkāñ aur nahīñ parvāz kā mazmūñ ho bhī chukā
tāroñ pe kamandeñ pheñk chuke mahtāb pe shab-ḳhūñ ho bhī chukā
ab aur kisī fardā ke liye un āñkhoñ se kyā paimāñ kiije
kis ḳhvāb ke jhūTe afsūñ se taskīn-e-dil-e-nādāñ kiije
shīrīnī-e-lab ḳhushbū-e-dahan ab shauq kā unvāñ koī nahīñ
shādābī-e-dil tafrīh-e-nazar ab ziist kā darmāñ koī nahīñ
jiine ke fasāne rahne do ab in meñ ulajh kar kyā leñge
ik maut kā dhandā baaqī hai jab chāheñge nipTā leñge
ye terā kafan vo merā kafan ye merī lahad vo terī hai
dūsrī āvāz
hastī kī matā-e-be-pāyāñ jāgīr tirī hai na merī hai
is bazm meñ apnī mish.al-e-dil bismil hai to kyā raḳhshāñ hai to kyā
ye bazm charāġhāñ rahtī hai ik taaq agar vīrāñ hai to kyā
afsurda haiñ gar ayyām tire badlā nahīñ maslak-e-shām-o-sahar
Thahre nahīñ mausam-e-gul ke qadam qaa.em hai jamāl-e-shams-o-qamar
ābād hai vādī-e-kākul-o-lab shādāb-o-hasīñ gulgasht-e-nazar
maqsūm hai lazzat-e-dard-e-jigar maujūd hai nemat-e-dīda-e-tar
is dīda-e-tar kā shukr karo is zauq-e-nazar kā shukr karo
is shaam o sahar kā shukr karo in shams o qamar kā shukr karo
pahlī āvāz
gar hai yahī maslak-e-shams-o-qamar in shams-o-qamar kā kyā hogā
ra.anā.ī-e-shab kā kyā hogā andāz-e-sahar kā kyā hogā
jab ḳhūn-e-jigar barfāb banā jab āñkheñ āhan-posh huiiñ
is dīda-e-tar kā kyā hogā is zauq-e-nazar kā kyā hogā
jab sher ke ḳheme raakh hue naġhmoñ kī tanābeñ TuuT ga.iiñ
ye saaz kahāñ sar phoḌeñge is kilk-e-guhar kā kyā hogā
jab kunj-e-qafas maskan Thahrā aur jaib-o-garebāñ tauq-o-rasan
aa.e ki na aa.e mausam-e-gul is dard-e-jigar kā kyā hogā
dūsrī āvāz
ye haath salāmat haiñ jab tak is ḳhuuñ meñ harārat hai jab tak
is dil meñ sadāqat hai jab tak is nutq meñ tāqat hai jab tak
in tauq-o-salāsil ko ham tum sikhlāeñge shorish-e-barbat-o-nai
vo shorish jis ke aage zubūñ hañgāma-e-tabl-e-qaisar-o-kai
āzād haiñ apne fikr o amal bharpūr ḳhazīna himmat kā
ik umar hai apnī har saa.at imroz hai apnā har fardā
ye shām-o-sahar ye shams-o-qamar ye aḳhtar-o-kaukab apne haiñ
ye lauh-o-qalam ye tabl-o-alam ye māl-o-hasham sab apne haiñ
pahli aawaz
ab sai ka imkan aur nahin parwaz ka mazmun ho bhi chuka
taron pe kamanden phenk chuke mahtab pe shab-KHun ho bhi chuka
ab aur kisi farda ke liye un aankhon se kya paiman kije
kis KHwab ke jhuTe afsun se taskin-e-dil-e-nadan kije
shirini-e-lab KHushbu-e-dahan ab shauq ka unwan koi nahin
shadabi-e-dil tafrih-e-nazar ab zist ka darman koi nahin
jine ke fasane rahne do ab in mein ulajh kar kya lenge
ek maut ka dhanda baqi hai jab chahenge nipTa lenge
ye tera kafan wo mera kafan ye meri lahad wo teri hai
dusri aawaz
hasti ki mata-e-be-payan jagir teri hai na meri hai
is bazm mein apni mishal-e-dil bismil hai to kya raKHshan hai to kya
ye bazm charaghan rahti hai ek taq agar viran hai to kya
afsurda hain gar ayyam tere badla nahin maslak-e-sham-o-sahar
Thahre nahin mausam-e-gul ke qadam qaem hai jamal-e-shams-o-qamar
aabaad hai wadi-e-kakul-o-lab shadab-o-hasin gulgasht-e-nazar
maqsum hai lazzat-e-dard-e-jigar maujud hai nemat-e-dida-e-tar
is dida-e-tar ka shukr karo is zauq-e-nazar ka shukr karo
is sham o sahar ka shukr karo in shams o qamar ka shukr karo
pahli aawaz
gar hai yahi maslak-e-shams-o-qamar in shams-o-qamar ka kya hoga
ranai-e-shab ka kya hoga andaz-e-sahar ka kya hoga
jab KHun-e-jigar barfab bana jab aankhen aahan-posh huin
is dida-e-tar ka kya hoga is zauq-e-nazar ka kya hoga
jab sher ke KHeme rakh hue naghmon ki tanaben TuT gain
ye saz kahan sar phoDenge is kilk-e-guhar ka kya hoga
jab kunj-e-qafas maskan Thahra aur jaib-o-gareban tauq-o-rasan
aae ki na aae mausam-e-gul is dard-e-jigar ka kya hoga
dusri aawaz
ye hath salamat hain jab tak is KHun mein hararat hai jab tak
is dil mein sadaqat hai jab tak is nutq mein taqat hai jab tak
in tauq-o-salasil ko hum tum sikhlaenge shorish-e-barbat-o-nai
wo shorish jis ke aage zubun hangama-e-tabl-e-qaisar-o-kai
aazad hain apne fikr o amal bharpur KHazina himmat ka
ek umar hai apni har saat imroz hai apna har farda
ye sham-o-sahar ye shams-o-qamar ye aKHtar-o-kaukab apne hain
ye lauh-o-qalam ye tabl-o-alam ye mal-o-hasham sab apne hain
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.