shor-e-shabistan
merī paslī meñ jamā hai ka.ī shahroñ kā sukūt
jaise soyā ho kisī ġhaar meñ tahzīb kā bhuut
kū-ba-kū karb mahaktā hai badan se uḌ kar
samt-dar-samt bhaTaktī hai nazar be-maqsad
lauT aatā huuñ sar-e-shām jo ghar be-maqsad
sochtā huuñ ki maiñ ab jā.ūñ kidhar be-maqsad
hirniyāñ pyaas kī detī haiñ azaañ bistar meñ
uf ye hassās tabī'at bhī 'ajab ‘illat hai
zahr har soch kā pī jaao agar himmat hai
shor ke naag se bachne kī yahī sūrat hai
varna is naḳhl-e-ḳhamoshī ke ghane saa.e meñ
apnī pahchān banā lenā bahut mushkil hai
koī TuuTā hai yahāñ aur koī bismil hai
sab ke dāman meñ vahī hai jo mujhe hāsil hai
koh-o-sahrā se pare aur samundar se pare
kyoñ na ik shahr tilismoñ kā basā luuñ maiñ bhī
vaqt ke saath koī khel rachā luuñ maiñ bhī
apnī tanhā.ī ko dilchasp banā luuñ maiñ bhī
chhīn kar tifl-e-gadāgar se sukūñ kā ehsās
rāt-bhar chain se sotī hai siyāsat jaise
lekin is dhund meñ raushan ho basīrat jaise
jāntā ho na zamāna mirī niyyat jaise
phir bhalā kaise koī Dhoñg rachā pā.ūñgā
maiñ ki hamām se bāhar bhī barahna-tan huuñ
sard sahrā-e-tanaffus ki sulagtā ban huuñ
yā faqat apne shabistāñ ke liye īñdhan huuñ
āsmānoñ kī bulandī pe khaḌā ik ye savāl
mere chehre kī taraf dekh rahā hai dekho
meri pasli mein jama hai kai shahron ka sukut
jaise soya ho kisi ghaar mein tahzib ka bhut
ku-ba-ku karb mahakta hai badan se uD kar
samt-dar-samt bhaTakti hai nazar be-maqsad
lauT aata hun sar-e-sham jo ghar be-maqsad
sochta hun ki main ab jaun kidhar be-maqsad
hirniyan pyas ki deti hain azan bistar mein
uf ye hassas tabi'at bhi 'ajab ‘illat hai
zahr har soch ka pi jao agar himmat hai
shor ke nag se bachne ki yahi surat hai
warna is naKHl-e-KHamoshi ke ghane sae mein
apni pahchan bana lena bahut mushkil hai
koi TuTa hai yahan aur koi bismil hai
sab ke daman mein wahi hai jo mujhe hasil hai
koh-o-sahra se pare aur samundar se pare
kyon na ek shahr tilismon ka basa lun main bhi
waqt ke sath koi khel racha lun main bhi
apni tanhai ko dilchasp bana lun main bhi
chhin kar tifl-e-gadagar se sukun ka ehsas
raat-bhar chain se soti hai siyasat jaise
lekin is dhund mein raushan ho basirat jaise
jaanta ho na zamana meri niyyat jaise
phir bhala kaise koi Dhong racha paunga
main ki hamam se bahar bhi barahna-tan hun
sard sahra-e-tanaffus ki sulagta ban hun
ya faqat apne shabistan ke liye indhan hun
aasmanon ki bulandi pe khaDa ek ye sawal
mere chehre ki taraf dekh raha hai dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.