shora-e-pakistan ka KHair-maqdam
Interesting Fact
(This Nazm was recited at the Indo-Pak Mushaira in Delhi)
ye vaqt nahīñ qissa-e-muhtāj-o-ġhanī kā
ye vaqt nahīñ dil-dahī-o-dil-shikanī kā
ye vaqt nahīñ shikva-e-duniyā-e-danī kā
ai ham-suḳhano vaqt hai ye ham-suḳhanī kā
kab tak ye rahegā ki raho ham se judā tum
ham tum se idhar aur udhar ham se ḳhafā tum
ye sach hai ki taqsīm huā mulk hamārā
ye sach hai ki ūñchā huā nafrat kā sitārā
ye sach hai ki nafrat kā huā aam ijārā
ye sach hai ki nafrat ne adāvat kā ubhārā
ham tum meñ jo rishta hai vo kab TuuT sakegā
dāman jo adab kā hai vo kab chhūT sakegā
ai ham-suḳhano asal meñ rahbar to hamīñ haiñ
māyūs ḳhalā.iq ke payambar to hamīñ haiñ
jo auj pe rahte haiñ vo aḳhtar to hamīñ haiñ
mai-pāsh jo sab par haiñ vo sāġhar to hamīñ haiñ
ham chāheñ to sikka haq-o-insāf kā chal jaa.e
ham chāheñ to taqdīr-e-umam pal meñ badal jaa.e
paimān-e-adab bāñdh ke ik umr guzārī
ham sher ke ḳhādim haiñ mohabbat ke pujārī
vābasta adab se hai har ik baat hamārī
karne do jo karte haiñ siyāsat ke madārī
jo fikr meñ hai lutf firāsat meñ nahīñ hai
jo sher meñ jaadū hai siyāsat meñ nahīñ hai
ye waqt nahin qissa-e-muhtaj-o-ghani ka
ye waqt nahin dil-dahi-o-dil-shikani ka
ye waqt nahin shikwa-e-duniya-e-dani ka
ai ham-suKHano waqt hai ye ham-suKHani ka
kab tak ye rahega ki raho hum se juda tum
hum tum se idhar aur udhar hum se KHafa tum
ye sach hai ki taqsim hua mulk hamara
ye sach hai ki uncha hua nafrat ka sitara
ye sach hai ki nafrat ka hua aam ijara
ye sach hai ki nafrat ne adawat ka ubhaara
hum tum mein jo rishta hai wo kab TuT sakega
daman jo adab ka hai wo kab chhuT sakega
ai ham-suKHano asal mein rahbar to hamin hain
mayus KHalaiq ke payambar to hamin hain
jo auj pe rahte hain wo aKHtar to hamin hain
mai-pash jo sab par hain wo saghar to hamin hain
hum chahen to sikka haq-o-insaf ka chal jae
hum chahen to taqdir-e-umam pal mein badal jae
paiman-e-adab bandh ke ek umr guzari
hum sher ke KHadim hain mohabbat ke pujari
wabasta adab se hai har ek baat hamari
karne do jo karte hain siyasat ke madari
jo fikr mein hai lutf firasat mein nahin hai
jo sher mein jadu hai siyasat mein nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.