shortcut
hujūm hai
ki aag ke pahāḌ se girā huā alaav hai
koī nahīñ jo kah sake
ki ek pal ko Thahr kar batāo to
kahāñ chale ho, kis taraf
hujūm kyā hai
be-shumār muntashir akele-pan kī bhiiḌ hai
jo aap apnī āhaToñ ke Dar se laḌkhaḌā ga.ī
ġhubār-e-naqsh-e-pā uThā
to jam gayā ġhilāf-e-chashm-o-gosh par
ye qāfila bhaTak rahā hai manziloñ ko rakh ke apne dosh par
nahīñ kisī ko hosh, par
koī to ho jo kah sake
ki ''āzmīn-e-be-jihat''!
na manzileñ na rāste
to phir ġhubār ban ke uḌ rahe ho kis ke vāste
kisī ne kah diyā to kyā
nasheb meñ to tez-tar hujūm kā bahāv hai
pahāḌ ke dabāv se nasheb meñ kaTāv hai
kaTāv ke safar meñ kab kahāñ koī paḌāv hai
azāb-e-mushta.il meñ ab na nuuh hai na naav hai
patā hai?
nahīñ faqat alaav hai
aur aag ke pahāḌ se girā huā alaav hai
hujum hai
ki aag ke pahaD se gira hua alaw hai
koi nahin jo kah sake
ki ek pal ko Thahr kar batao to
kahan chale ho, kis taraf
hujum kya hai
be-shumar muntashir akele-pan ki bhiD hai
jo aap apni aahaTon ke Dar se laDkhaDa gai
ghubar-e-naqsh-e-pa uTha
to jam gaya ghilaf-e-chashm-o-gosh par
ye qafila bhaTak raha hai manzilon ko rakh ke apne dosh par
nahin kisi ko hosh, par
koi to ho jo kah sake
ki aazmin-e-be-jihat!
na manzilen na raste
to phir ghubar ban ke uD rahe ho kis ke waste
kisi ne kah diya to kya
nasheb mein to tez-tar hujum ka bahaw hai
pahaD ke dabaw se nasheb mein kaTaw hai
kaTaw ke safar mein kab kahan koi paDaw hai
azab-e-mushtail mein ab na nuh hai na naw hai
pata hai?
nahin faqat alaw hai
aur aag ke pahaD se gira hua alaw hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.