show-case se jhankti guDiya
Interesting Fact
(Dedicated to Sara Shigufta)
kabhī ham phuul hote the
gulābī narm-o-nāzuk os meñ bhīgā
mahaktā muskurātā ḳhushbuoñ ko chūmne vaalā
mohabbat karne vaale jhuum uThte jab hameñ paate
hameñ poroñ se chhū kar ruuh tak mahsūs karte the
ka.ī collar ka.ī āñkheñ anokhe vasl ke lamhe
hamāre muntazir hote
hamāre husn ke charche galī-kūchoñ meñ hote the
adāoñ ke sunahre tiir palkoñ meñ pirote the
huī muddat ki ham patjhaḌ ke pairoñ kī bane haiñ dhuul
lekin ye haqīqat hai
kabhī ham phuul hote the
kabhi hum phul hote the
gulabi narm-o-nazuk os mein bhiga
mahakta muskuraata KHushbuon ko chumne wala
mohabbat karne wale jhum uThte jab hamein pate
hamein poron se chhu kar ruh tak mahsus karte the
kai collar kai aankhen anokhe wasl ke lamhe
hamare muntazir hote
hamare husn ke charche gali-kuchon mein hote the
adaon ke sunahre tir palkon mein pirote the
hui muddat ki hum patjhaD ke pairon ki bane hain dhul
lekin ye haqiqat hai
kabhi hum phul hote the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.