shri gurunanak dev ji
dars tirā thā amn-o-mohabbat
duur the tujh se buġhz-o-kudūrat
tujh meñ pinhāñ nūr-e-vahdat
kaisā kiina kaisī adāvat
ġhair ko tū ne apnā maanā
tujh se nānak sab ko aqīdat
baat baat meñ tarz-e-nau thī
terī dānish terī hikmat
sab ko sachchī raah dikhā.ī
tū thā sarāpā ek sadāqat
pyaar mohabbat dars hai terā
jhalak rahī hai jis kī azmat
nā-bīnā 'betāb' jo Thahre
dekh na paa.e terī sūrat
dars tera tha amn-o-mohabbat
dur the tujh se bughz-o-kudurat
tujh mein pinhan nur-e-wahdat
kaisa kina kaisi adawat
ghair ko tu ne apna mana
tujh se nanak sab ko aqidat
baat baat mein tarz-e-nau thi
teri danish teri hikmat
sab ko sachchi rah dikhai
tu tha sarapa ek sadaqat
pyar mohabbat dars hai tera
jhalak rahi hai jis ki azmat
na-bina 'betab' jo Thahre
dekh na pae teri surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.