shuur ki tah ke phaTakon par
maiñ jāntā huuñ
shu.ūr kī tah ke phāTakoñ par
jo qufl hai, vo kalīd bhī hai
maiñ jāntā huuñ ki phāTakoñ ko
maiñ khol saktā huuñ, jab bhī chāhūñ
magar mujhe apne jism ko bheñT karnā hogā
kaTānā hogā badan ko apne
ki jūñhī phāTak khuleñge mujh ko
bashar se haivān banñā hogā
karoḌoñ barsoñ ke irtiqā ko phalāñg kar pīchhe jaanā hogā
shu.ūr kī tah ke phāTakoñ se
pare jo baiThī hai kālī-devī
vahī mujhe ''irtiqā'' se pīchhe phalāñgne kā payām de kar
ye kah rahī hai ''tum ek haivāñ the, ek haivāñ ho
ye baat achchhī tarah samajh lo''
maiñ sun rahā huuñ ḳhud apnī āvāz meñ ye jumla
ki maiñ to tum tak pahuñch gayā thā guzishta shab
chāñd ke nikalne se pesh-tar hī
libās utre hue badan par
mirī ragoñ se umaDtā merā lahū
to tum ne zarūr dekhā hai, kaalī devī
vo haDDiyāñ jin se gosht nochā gayā thā merā
sapīd jaise dhulī huī hoñ!
uTho mire lā-shu.ūr meñ baiThī kālī-devī
mujhe sameTo siyāh bāhoñ meñ aage aa kar
ki maiñ ne ye bandagī itā.at
ḳhud apnī marzī se, apne dil se qubūl kī hai
mirā lahū, merī haDDiyāñ, merā gosht
hattā ki ruuh merī
tumheñ samarpan hai, merī devī
maiñ jāntā huuñ
shu.ūr kī tah ke phāTakoñ par
jo qufl hai vo kalīd bhī hai
magar kabhī ik savāl sā apnā sar uThātā hai mere dil meñ
kalīd ko pheñk duuñ agar to?
main jaanta hun
shuur ki tah ke phaTakon par
jo qufl hai, wo kalid bhi hai
main jaanta hun ki phaTakon ko
main khol sakta hun, jab bhi chahun
magar mujhe apne jism ko bhenT karna hoga
kaTana hoga badan ko apne
ki junhi phaTak khulenge mujh ko
bashar se haiwan banna hoga
karoDon barson ke irtiqa ko phalang kar pichhe jaana hoga
shuur ki tah ke phaTakon se
pare jo baiThi hai kali-dewi
wahi mujhe irtiqa se pichhe phalangne ka payam de kar
ye kah rahi hai tum ek haiwan the, ek haiwan ho
ye baat achchhi tarah samajh lo
main sun raha hun KHud apni aawaz mein ye jumla
ki main to tum tak pahunch gaya tha guzishta shab
chand ke nikalne se pesh-tar hi
libas utre hue badan par
meri ragon se umaDta mera lahu
to tum ne zarur dekha hai, kali dewi
wo haDDiyan jin se gosht nocha gaya tha mera
sapid jaise dhuli hui hon!
uTho mere la-shuur mein baiThi kali-dewi
mujhe sameTo siyah bahon mein aage aa kar
ki main ne ye bandagi itaat
KHud apni marzi se, apne dil se qubul ki hai
mera lahu, meri haDDiyan, mera gosht
hatta ki ruh meri
tumhein samarpan hai, meri dewi
main jaanta hun
shuur ki tah ke phaTakon par
jo qufl hai wo kalid bhi hai
magar kabhi ek sawal sa apna sar uThata hai mere dil mein
kalid ko phenk dun agar to?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.