shuur nili rutubaton mein ulajh gaya hai
shu.ūr niilī rutūbatoñ meñ ulajh gayā hai
ḳhulūs kī uñgliyoñ ke nīche
añdherā lafzoñ meñ Dhal gayā hai
yahāñ sab alfāz khokhle haiñ
ye khokhlā-pan muqaddaroñ se juḌā huā hai
ye khokhlā-pan
jise ma.ānī kī ret se bhar sake na koī
muqaddaroñ se juḌā huā hai
añdherā ghoḌoñ kī hinhināhaT se gūñjtā hai
añdherā
jis meñ kisī kī āñhkeñ pighal ga.ī haiñ
vo hinhināhaT se gūñjtā hai
ḳhulūs kī uñgliyoñ ke nīche
shu.ūr niilī rutūbatoñ meñ ulajh gayā hai
shuur nili rutubaton mein ulajh gaya hai
KHulus ki ungliyon ke niche
andhera lafzon mein Dhal gaya hai
yahan sab alfaz khokhle hain
ye khokhla-pan muqaddaron se juDa hua hai
ye khokhla-pan
jise maani ki ret se bhar sake na koi
muqaddaron se juDa hua hai
andhera ghoDon ki hinhinahaT se gunjta hai
andhera
jis mein kisi ki aanhken pighal gai hain
wo hinhinahaT se gunjta hai
KHulus ki ungliyon ke niche
shuur nili rutubaton mein ulajh gaya hai
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.