shyam ki yaad
nand ke laal yashodā ke dulāre mohan
ham tirī yaad meñ betāb haiñ saare mohan
rote rote huī bhagtoñ kī tire umr basar
kis musībat meñ shab-o-roz guzāre mohan
nām-levā tire duniyā se miTe jaate haiñ
jāñ-ba-lab haiñ tirī āñkhoñ ke sitāre mohan
jis ko kartā thā kaleje se ghaḌī bhar na judā
chhoḌ rakhā hai use kis ke sahāre mohan
phir vahī sāñvlī chhab aa.e nazar bhagtoñ ko
nand kī god meñ jamunā ke kināre mohan
nand baabā kī kuTī ho ga.ī suunī tujh bin
phīke mathurā ke hue saare nazāre mohan
dard-mandoñ ko kaleje se lagāne vaale
'āftāb' aaj musībat meñ pukāre mohan
nand ke lal yashoda ke dulare mohan
hum teri yaad mein betab hain sare mohan
rote rote hui bhagton ki tere umr basar
kis musibat mein shab-o-roz guzare mohan
nam-lewa tere duniya se miTe jate hain
jaan-ba-lab hain teri aankhon ke sitare mohan
jis ko karta tha kaleje se ghaDi bhar na juda
chhoD rakha hai use kis ke sahaare mohan
phir wahi sanwli chhab aae nazar bhagton ko
nand ki god mein jamuna ke kinare mohan
nand baba ki kuTi ho gai suni tujh bin
phike mathura ke hue sare nazare mohan
dard-mandon ko kaleje se lagane wale
'aftab' aaj musibat mein pukare mohan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.