siDhiyan
dūriyoñ kī dhund meñ gum
ho chukā hai kārvāñ ab
uTh rahā hai duur tak kaalā dhuāñ jo
muḌ ke us ko tak rahā hai
ghup-añdhere ġhaar kī tah meñ akelī
nā-tavāñ ik zindagī panjoñ ke bal
patthar kī ūñchī sīḌhiyoñ par
hāñptī koshish kī baisākhī ko thāme
reñgtī hai!
pāniyoñ kī aag meñ jhulsī huī nazreñ Tikī haiñ
duur ūñchā.ī pe darvāze se aatī raushnī par
chār-sū bikhre hue bas
nā-umīdī ke ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ
uupar ko jaatī an-ginat patthar kī ūñchī
sīḌhiyāñ haiñ!!
duriyon ki dhund mein gum
ho chuka hai karwan ab
uTh raha hai dur tak kala dhuan jo
muD ke us ko tak raha hai
ghup-andhere ghaar ki tah mein akeli
na-tawan ek zindagi panjon ke bal
patthar ki unchi siDhiyon par
hanpti koshish ki baisakhi ko thame
rengti hai!
paniyon ki aag mein jhulsi hui nazren Tiki hain
dur unchai pe darwaze se aati raushni par
chaar-su bikhre hue bas
na-umidi ke KHas-o-KHashak hain
upar ko jati an-ginat patthar ki unchi
siDhiyan hain!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.