siDhiyon par do shamen
us sunahrī shaam jab mandir kī sīḌhī par
bichhā.e dhuup oḌhe chhāñv
ham tum saath baiThe the
bahut kuchh kah rahā thā maiñ
bahut kuchh kah rahī thiiñ tum
bahut kuchh sun rahe the ham
hamārī piiTh ke pīchhe to sūraj Dhal rahā thā
par mire shāne pe ik sūraj Tikā thā
jis kī jagmag raushnī meñ
āsmāñ apne varaq par
phir koī dilkash kahānī likh rahā thā
kal pighaltī shaam auditorium kī sīḌhiyoñ par
ham the aadhe paas aadhe duur
gum-sum saath baiThe the
na tum kuchh kah rahī thiiñ aur na maiñ kuchh kah rahā thā
ek chuppī thī jise ham sun rahe the
lekin ab kī baar sūraj sāmne hī Dhal rahā thā
āsmāñ par shaam kī parchhā.iyāñ gahrā rahīñ thī
aur tārīkī falak ke lauh par likkhī huī
ik ik 'ibārat ko miTātī jā rahī thī
āsmāñ par vo kahānī jo adhūrī hī likhī thī
dhīre dhīre miT rahī thī
āsmāñ niile se kaalā aur kaalā ho gayā thā
us sunahri sham jab mandir ki siDhi par
bichhae dhup oDhe chhanw
hum tum sath baiThe the
bahut kuchh kah raha tha main
bahut kuchh kah rahi thin tum
bahut kuchh sun rahe the hum
hamari piTh ke pichhe to suraj Dhal raha tha
par mere shane pe ek suraj Tika tha
jis ki jagmag raushni mein
aasman apne waraq par
phir koi dilkash kahani likh raha tha
kal pighalti sham auditorium ki siDhiyon par
hum the aadhe pas aadhe dur
gum-sum sath baiThe the
na tum kuchh kah rahi thin aur na main kuchh kah raha tha
ek chuppi thi jise hum sun rahe the
lekin ab ki bar suraj samne hi Dhal raha tha
aasman par sham ki parchhaiyan gahra rahin thi
aur tariki falak ke lauh par likkhi hui
ek ek 'ibarat ko miTati ja rahi thi
aasman par wo kahani jo adhuri hi likhi thi
dhire dhire miT rahi thi
aasman nile se kala aur kala ho gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.