siDhiyon se upar ek makan
un sīḌhiyoñ par
aur un se uupar ek tañg makān ke farsh par
ikkīsvīñ sadī kā koī musavvir
vo hoñT daryāft nahīñ kar sakā
jo tumhāre pairoñ ko chuum nahīñ sake
aur makān kī vo dīvāreñ
jin se tumhārī kamar ragaḌ nahīñ khā sakī
aur koī nazm
tumhārī ḳhvāhish karne vaale vo lafz nahīñ DhūñD sakī
jo in sīḌhiyoñ se uupar
ek tañg makān kī dīvāroñ ke darmiyān
ek shaḳhs se farāmosh ho ga.e
yā jinheñ us ne
kāġhaz par darashtī se kaaT diyā
yā likhe baġhair tark kar diyā
yā apnī āñkhoñ ko sauñp diyā
ki ek roz tum unheñ āsānī se paḌh sako
aur ziyāda āsānī ke saath
un kā inkār kar sako
un siDhiyon par
aur un se upar ek tang makan ke farsh par
ikkiswin sadi ka koi musawwir
wo honT daryaft nahin kar saka
jo tumhaare pairon ko chum nahin sake
aur makan ki wo diwaren
jin se tumhaari kamar ragaD nahin kha saki
aur koi nazm
tumhaari KHwahish karne wale wo lafz nahin DhunD saki
jo in siDhiyon se upar
ek tang makan ki diwaron ke darmiyan
ek shaKHs se faramosh ho gae
ya jinhen us ne
kaghaz par darashti se kaT diya
ya likhe baghair tark kar diya
ya apni aankhon ko saunp diya
ki ek roz tum unhen aasani se paDh sako
aur ziyaada aasani ke sath
un ka inkar kar sako
- Book : Mamnu'u Mausamon Ki Kitab (Pg. 58)
- Author : Syed Kashif Reza
- Publication : Scheherzade (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.