sikhne ka amal hamesha jari rahna chahiye
tumheñ
chīḳhne-chillāne kā koī haq nahīñ
tum agar hālāt ko tabdīl kar sakte ho
to maidān-e-amal meñ aa kar
apnā kirdār adā karo
varna ḳhāmosh raho
tum chāho to
bārish kī tarah baraste hue koḌoñ par
gintī siikh sakte ho
sīkhne kā amal
hamesha jaarī rahnā chāhiye
is sīkhne ke amal meñ
maiñ tumhārā saath de saktā huuñ
tum jahāñ gintī bhuul jaao
mujh se rujūa kar lenā
maiñ tumheñ sabr kī talqīn karūñgā
tumhein
chiKHne-chillane ka koi haq nahin
tum agar haalat ko tabdil kar sakte ho
to maidan-e-amal mein aa kar
apna kirdar ada karo
warna KHamosh raho
tum chaho to
barish ki tarah baraste hue koDon par
ginti sikh sakte ho
sikhne ka amal
hamesha jari rahna chahiye
is sikhne ke amal mein
main tumhaara sath de sakta hun
tum jahan ginti bhul jao
mujh se rujua kar lena
main tumhein sabr ki talqin karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.