silan
ham ne apne saath kī āḳhirī shab
būḌhe peḌ kī jhīnī chhatrī ke nīche
chāñd kī bhīgī bhīgī kirnoñ ke saath bitā.ī thī
maiñ ne apne ashkoñ kā ruḳh moḌ diyā thā
tum ne palkoñ se do motī mere kañdhe par Taañk diye the
aur māthe par kabhī na miTne vaalī
mohr lagā.ī thī ek giile bose kī
aglī shab
us peḌ ke nīche maiñ tanhā thā
chhūT gayā thā tum se jo rūmāl vahāñ par le aayā thā
barsoñ ba.ad isī shab kā
jānī-pahchānī ḳhushbū vaalī bhīgā-pan
nazmoñ kī ek bhūlī huī sī copy meñ
sīlan ban kar ubhrā hai
hum ne apne sath ki aaKHiri shab
buDhe peD ki jhini chhatri ke niche
chand ki bhigi bhigi kirnon ke sath bitai thi
main ne apne ashkon ka ruKH moD diya tha
tum ne palkon se do moti mere kandhe par Tank diye the
aur mathe par kabhi na miTne wali
mohr lagai thi ek gile bose ki
agli shab
us peD ke niche main tanha tha
chhuT gaya tha tum se jo rumal wahan par le aaya tha
barson baad isi shab ka
jaani-pahchani KHushbu wali bhiga-pan
nazmon ki ek bhuli hui si copy mein
silan ban kar ubhra hai
- Book : Namak (Pg. 38)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.