sita
tirā naam le kar sahar jāgtī hai
tire giit gaatī hai tāroñ kī mahfil
tirī ḳhāk-e-pā hind kā rāz-e-azmat
tirī zindagī mere ḳhvāboñ kī manzil
kahānī tirī sun ke tharrā uThī maiñ
dhaḌakne lagā dhīre dhīre mirā dil
chhupā.e haiñ siine meñ kuchh raaz apne
dakan ke kuhistāñ kī taptī chaTāneñ
musāfir kuchh aa.e the in jañgaloñ meñ
fazā meñ haiñ bikhrī huī dāstāneñ
vo hamdard āñkheñ vo bātoñ meñ jaadū
vo mazbūt baazū vo bhārī kamāneñ
vo ik ḳhud-farāmosh pī kī pujāran
kaTī pattiyoñ kī nadī kā kinārā
nigāhoñ se chhantā huā nūr-e-ulfat
jabīñ par farozāñ vafā kā sitāra
baraste hue phuul ḳhushiyoñ ke har sū
zamāna bhī thā ruk ke mahv-e-nazāra
vo paiham safar vo havādis ke tūfāñ
vo pairoñ meñ chhāle vo hañstī nigāheñ
kabhī dil ko ġhurbat meñ bahlā.e rakhnā
kabhī des kī yaad meñ sard aaheñ
rahī sālahā saal tū jāda-paimā
ye dhun thī ki tai hoñ riyāzat kī rāheñ
magar āzmā.ish thī kuchh aur baaqī
abhī sāmne aur bhī imtihāñ the
asīrī phir ik rākshas kī asīrī
bahut duur tujh se tire pāsbāñ the
tirī paak fitrat magar ik sipar thī
tire sāmne rākshas nā-tavāñ the
uThe phir tirā naam le kar javāñ kuchh
jarī hausla-mand sachche jiyāle
hilā Daale aivān ik saltanat ke
tire pāsbāñ the baḌe aan vaale
tirī vāpsī kar rahī thī ye elaañ
ki miTte nahīñ zulmatoñ se ujāle
sahe jo sitam ban ga.e sab fasāna
talāfī kā ab aa rahā thā zamāna
huī aah lekin ye kaisī talāfī
dobāra milā jañgaloñ meñ Thikāna
salīb ek baaqī thī jo māmtā kī
use bhī to lāzim thā tanhā uThānā
ajab haiñ ye asrār-e-rvasl-o-judā.ī
ki manzil ko pā kar bhī manzil na paa.ī
ye kaisā sitam thā ki iffat kī devī
subūt apnī iffat kā dene ko aa.e
vo sho.ale kī mānind sho.aloñ se guzrī
vo bijlī sī ban kar zamīñ meñ samā.ī
tera nam le kar sahar jagti hai
tere git gati hai taron ki mahfil
teri KHak-e-pa hind ka raaz-e-azmat
teri zindagi mere KHwabon ki manzil
kahani teri sun ke tharra uThi main
dhaDakne laga dhire dhire mera dil
chhupae hain sine mein kuchh raaz apne
dakan ke kuhistan ki tapti chaTanen
musafir kuchh aae the in jangalon mein
faza mein hain bikhri hui dastanen
wo hamdard aankhen wo baaton mein jadu
wo mazbut bazu wo bhaari kamanen
wo ek KHud-faramosh pi ki pujaran
kaTi pattiyon ki nadi ka kinara
nigahon se chhanta hua nur-e-ulfat
jabin par farozan wafa ka sitara
baraste hue phul KHushiyon ke har su
zamana bhi tha ruk ke mahw-e-nazara
wo paiham safar wo hawadis ke tufan
wo pairon mein chhaale wo hansti nigahen
kabhi dil ko ghurbat mein bahlae rakhna
kabhi des ki yaad mein sard aahen
rahi salaha sal tu jada-paima
ye dhun thi ki tai hon riyazat ki rahen
magar aazmaish thi kuchh aur baqi
abhi samne aur bhi imtihan the
asiri phir ek rakshas ki asiri
bahut dur tujh se tere pasban the
teri pak fitrat magar ek sipar thi
tere samne rakshas na-tawan the
uThe phir tera nam le kar jawan kuchh
jari hausla-mand sachche jiyale
hila Dale aiwan ek saltanat ke
tere pasban the baDe aan wale
teri wapsi kar rahi thi ye elan
ki miTte nahin zulmaton se ujale
sahe jo sitam ban gae sab fasana
talafi ka ab aa raha tha zamana
hui aah lekin ye kaisi talafi
dobara mila jangalon mein Thikana
salib ek baqi thi jo mamta ki
use bhi to lazim tha tanha uThana
ajab hain ye asrar-e-rwasl-o-judai
ki manzil ko pa kar bhi manzil na pai
ye kaisa sitam tha ki iffat ki dewi
subut apni iffat ka dene ko aae
wo shoale ki manind shoalon se guzri
wo bijli si ban kar zamin mein samai
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 296)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.