sikka pani aur sitara
muuñd kar āñkheñ
baḌe hī dhyān se
maiñ ne pīchhe kī taraf
hauz ke paanī meñ sikke pheñkte hī
ik zarā sī chheḌ kī
apne dil-e-ḳhush-fahm se
ai bāvle
ab to ho jā.egī puurī
ḳhair se terī murād
sah-pahar kī dhuup meñ
hauz ke jharne meñ sikke
saat rañgoñ meñ chamakte
yuuñ dikhā.ī de rahe the
jaise ham āvāz ho kar
sab uḌāte hoñ mire dil kā mazāq
jaise aapas meñ hī
kar rakkhā ho barpā
merī nam-ḳhurda
hathelī ke sitāroñ ne fasād
mund kar aankhen
baDe hi dhyan se
main ne pichhe ki taraf
hauz ke pani mein sikke phenkte hi
ek zara si chheD ki
apne dil-e-KHush-fahm se
ai bawle
ab to ho jaegi puri
KHair se teri murad
sah-pahar ki dhup mein
hauz ke jharne mein sikke
sat rangon mein chamakte
yun dikhai de rahe the
jaise hum aawaz ho kar
sab uDate hon mere dil ka mazaq
jaise aapas mein hi
kar rakkha ho barpa
meri nam-KHurda
hatheli ke sitaron ne fasad
- Book : pushtara (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.