silin figers
colombia ke duur darāz dehātoñ meñ
kokīn kī kāsht se pābandī uThā dī ga.ī hai
shumālī portugal kī surḳh maaoñ ke sapne
sunahre tambākū ke khetoñ meñ javān hote haiñ
cherī ke jañgaloñ kī aqbī samt se
niile parinde ke sar jhaTakne se pahle
baañs kī paTrī par
havā kī rail ġhusse bharī siiTī bajātī hai
bheḌoñ ke muhāfiz kutte kī niiñd ḳharāb hotī hai
vaqt kī vaadī meñ soī huī
sadī ke vahshī hoñToñ ko
mafrūr lamha chuum saktā hai
jackdaniels kā masḳh-shuda label
botal kī raakh sūñghtā hai
kāsnī mahbūba kī barahna piiTh par
surma.ī novel kā haath reñgtā hai
zabt kī dīvār meñ paivasta
shelf kī chhātī par auñdhe muñh paḌe
piile aur bosīda musavvadoñ se
jism kī rūmānviyat ko jaatā rasta
jis kī sākin āġhosh meñ
nazm ke cigarette-zada hoñToñ se girtī
nuqra.ī jhurriyoñ ke lāshe uuñgh rahe haiñ
saare manzar ko ek almārī ghuur rahī hai
pañkhe kī bhunbhunāhat so rahī hai
colombia ke dur daraaz dehaton mein
kokin ki kasht se pabandi uTha di gai hai
shumali portugal ki surKH maon ke sapne
sunahre tambaku ke kheton mein jawan hote hain
cheri ke jangalon ki aqbi samt se
nile parinde ke sar jhaTakne se pahle
bans ki paTri par
hawa ki rail ghusse bhari siTi bajati hai
bheDon ke muhafiz kutte ki nind KHarab hoti hai
waqt ki wadi mein soi hui
sadi ke wahshi honTon ko
mafrur lamha chum sakta hai
jackdaniels ka masKH-shuda label
botal ki rakh sunghta hai
kasni mahbuba ki barahna piTh par
surmai nowel ka hath rengta hai
zabt ki diwar mein paiwasta
shelf ki chhati par aundhe munh paDe
pile aur bosida musawwadon se
jism ki rumanwiyat ko jata rasta
jis ki sakin aaghosh mein
nazm ke cigarette-zada honTon se girti
nuqrai jhurriyon ke lashe ungh rahe hain
sare manzar ko ek almari ghur rahi hai
pankhe ki bhunbhunahat so rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.