silsila-e-zindagi
jab rageñ TūTne lag jaa.eñ lahū kī gardish
jis ghaḌī jism meñ tham jaa.e to ik lamhe ko
vaqt ruk jā.egā jin jin kā juḌā hai us se
āb-o-dāna vo kabhī aaj ke ġham aur kabhī
kal ke saffāk masā.il ke kisī hal kī ḳhalish
aur be-dard haqīqat kī ghuTan dil meñ liye
kabhī ro.eñge kabhī fikr meñ kho jā.eñge
kal phir ik sub.h na.e mas.ale le aa.egī
jab ragen TuTne lag jaen lahu ki gardish
jis ghaDi jism mein tham jae to ek lamhe ko
waqt ruk jaega jin jin ka juDa hai us se
aab-o-dana wo kabhi aaj ke gham aur kabhi
kal ke saffak masail ke kisi hal ki KHalish
aur be-dard haqiqat ki ghuTan dil mein liye
kabhi roenge kabhi fikr mein kho jaenge
kal phir ek subh nae masale le aaegi
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 65)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.