silsila
kabhī kabhī ik kiran ujāle kī
mere kāñdhe pe haath rakh kar
ye pūchhtī hai
ki aur kitnā safar hai baaqī
huā hai tai kis qadar hai baaqī
ye rāsta karb-e-āgahī kā
kahāñ se niklā gayā kahāñ tak
charāġh ehsās-e-ḳhud-sarī kā
koī bhī likh kar koī bhī paḌh kar nahīñ batātā
nasīb kaisā hai aadmī kā
yaqīn-e-fikr-o-nazar hai baaqī
sarāb-e-jāñ rahguzar hai baaqī
magar kisī ko pata nahīñ hai hayāt-e-insāñ hai kitnī baaqī
bas ek maiñ huuñ ki karb-e-ehsās merā saaya
ye zaat kā ġham jo saath aaya
gumān kī āñdhiyoñ ne aksar mujhe khilāyā
nazar nazar ik charāġh āñkhoñ meñ jhilmilāyā
yaqīñ kī sūrat
zamīñ kī sūrat
tumhārī raushan jabīñ kī sūrat
maiñ ik sadāqat
charāġh-e-rāhat
vajūd-e-rif.at
maiñ zau-fishāñ huuñ
fanā kī vaadī se jism merā guzar bhī jaa.e
mirā badan lamha lamha ban kar bikhar bhī jaa.e
ye karb-e-fikr-o-nazar ye raushan zamīr merā
ye zaḳhm-e-tahqīq jo badan par likhā huā hai
ye zahr aur ik jo ragoñ meñ machal rahā hai
jise piyā hai samajh ke āb-e-hayāt merī jasāratoñ ne
har ek siine meñ biij botā rahegā merī tajalliyoñ ke
khilā.egā saañs saañs tahrīr raushnī kī
safar mirī kāvish-e-nazar kā
yaqīn kā rif.at-e-hunar kā
na ḳhatm hogā
kabhi kabhi ek kiran ujale ki
mere kandhe pe hath rakh kar
ye puchhti hai
ki aur kitna safar hai baqi
hua hai tai kis qadar hai baqi
ye rasta karb-e-agahi ka
kahan se nikla gaya kahan tak
charagh ehsas-e-KHud-sari ka
koi bhi likh kar koi bhi paDh kar nahin batata
nasib kaisa hai aadmi ka
yaqin-e-fikr-o-nazar hai baqi
sarab-e-jaan rahguzar hai baqi
magar kisi ko pata nahin hai hayat-e-insan hai kitni baqi
bas ek main hun ki karb-e-ehsas mera saya
ye zat ka gham jo sath aaya
guman ki aandhiyon ne aksar mujhe khilaya
nazar nazar ek charagh aankhon mein jhilmilaya
yaqin ki surat
zamin ki surat
tumhaari raushan jabin ki surat
main ek sadaqat
charagh-e-rahat
wajud-e-rifat
main zau-fishan hun
fana ki wadi se jism mera guzar bhi jae
mera badan lamha lamha ban kar bikhar bhi jae
ye karb-e-fikr-o-nazar ye raushan zamir mera
ye zaKHm-e-tahqiq jo badan par likha hua hai
ye zahr aur ek jo ragon mein machal raha hai
jise piya hai samajh ke aab-e-hayat meri jasaraton ne
har ek sine mein bij bota rahega meri tajalliyon ke
khilaega sans sans tahrir raushni ki
safar meri kawish-e-nazar ka
yaqin ka rifat-e-hunar ka
na KHatm hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.