silsile
shahr-dar-shahr, qarya-dar-qarya
sāl-hā-sāl se bhaTaktā huuñ
bār-hā yuuñ huā ki ye duniyā
mujh ko aisī dikhā.ī dī jaise
sub.h kī zau se phuul khiltā ho
bār-hā yuuñ huā ki raushan chāñd
yuuñ lagā jaise ek andhā kuaañ
yā koī gahrā zaḳhm ristā huā
maiñ bahar-kaif phir bhī zinda huuñ
aur kal sochtā rahā pahroñ
mujh ko aisī kabhī lagan to na thī
har jagah terī yaad kyuuñ aa.ii?
shahr-dar-shahr, qarya-dar-qarya
sal-ha-sal se bhaTakta hun
bar-ha yun hua ki ye duniya
mujh ko aisi dikhai di jaise
subh ki zau se phul khilta ho
bar-ha yun hua ki raushan chand
yun laga jaise ek andha kuan
ya koi gahra zaKHm rista hua
main bahar-kaif phir bhi zinda hun
aur kal sochta raha pahron
mujh ko aisi kabhi lagan to na thi
har jagah teri yaad kyun aai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.