sinf-e-nazuk kaha gaya mujhko
rañg-e-kā.enāt kahā gayā mujh ko
āñkhoñ meñ base ḳhvāboñ se
phir mubarrā kiyā gayā mujh ko
zindagī bhar kī jo kamā.ī thī
kuchh jo izzat kahīñ banā.ī thī
chand lafzoñ se kuchh hiqārat se
tahī-dāman kiyā gayā mujh ko
kaarī kar ke sab zamāne meñ
khule sar barahna kiyā gayā mujh ko
husn-e-zan se jo zindagī hai hasīn
rañgoñ se khulī dilkashī hai yahī
sinf-e-nāzuk kī nāzukī hai yahī
us ke ḳhvāboñ ko tā'bīreñ jo milīñ
zindagī ke sab zāviyoñ se pare
rañg-e-gul yūñhī bikhar jā.eñge
dukh sab sukh meñ badal jā.eñge
kaarī na maregī koī bhī naarī
ziist rahegī na us pe bhārī
sinf-e-nāzuk samajh kar na maaro mujh ko
rañg-e-gul huuñ maiñ is gulistāñ kī
ḳhvāboñ kī āñkhoñ meñ maiñ bhī bastī huuñ
zamīn kī god se merā bhī rishta hai
ḳhushbū ban kar ham ne yuuñ bikharnā hai
mānind-e-sahar ḳhud meñ yuuñ ubharnā hai
rañg-e-kā.enāt ban kar har zamāne meñ
ḳhud hī apnī misāl banñā hai
rang-e-kaenat kaha gaya mujh ko
aankhon mein base KHwabon se
phir mubarra kiya gaya mujh ko
zindagi bhar ki jo kamai thi
kuchh jo izzat kahin banai thi
chand lafzon se kuchh hiqarat se
tahi-daman kiya gaya mujh ko
kari kar ke sab zamane mein
khule sar barahna kiya gaya mujh ko
husn-e-zan se jo zindagi hai hasin
rangon se khuli dilkashi hai yahi
sinf-e-nazuk ki nazuki hai yahi
us ke KHwabon ko ta'biren jo milin
zindagi ke sab zawiyon se pare
rang-e-gul yunhi bikhar jaenge
dukh sab sukh mein badal jaenge
kari na maregi koi bhi nari
zist rahegi na us pe bhaari
sinf-e-nazuk samajh kar na maro mujh ko
rang-e-gul hun main is gulistan ki
KHwabon ki aankhon mein main bhi basti hun
zamin ki god se mera bhi rishta hai
KHushbu ban kar hum ne yun bikharna hai
manind-e-sahar KHud mein yun ubharna hai
rang-e-kaenat ban kar har zamane mein
KHud hi apni misal banna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.