sipahi
kalī kā maan isī meñ hai
guloñ kī jaan isī meñ hai
ravish ravish sajā.eñ ham
hamārī jaan isī meñ hai
qadam milā ke sāthiyo
baḌhe chalo baḌhe chalo
shikāyateñ na shaiḳh kī
na barahman se dushmanī
hamārī ziist kā chalan
har ek se hai dostī
qadam milā ke sāthiyo
baḌhe chalo baḌhe chalo
diye jalāo pyaar ke
tarāne gaao pyaar ke
mahak uThe Dagar Dagar
gulāb uḌaao pyaar ke
qadam milā ke sāthiyo
baḌhe chalo baḌhe chalo
kali ka man isi mein hai
gulon ki jaan isi mein hai
rawish rawish sajaen hum
hamari jaan isi mein hai
qadam mila ke sathiyo
baDhe chalo baDhe chalo
shikayaten na shaiKH ki
na barahman se dushmani
hamari zist ka chalan
har ek se hai dosti
qadam mila ke sathiyo
baDhe chalo baDhe chalo
diye jalao pyar ke
tarane gao pyar ke
mahak uThe Dagar Dagar
gulab uDao pyar ke
qadam mila ke sathiyo
baDhe chalo baDhe chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.