Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sipahi

Majeed Amjad

sipahi

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    tum us vaqt kyā the

    tumhāre mahloñ tumhāre gharoñ meñ to sab kuchh thā

    āsā.isheñ bhī vasīle bhī

    us kibriyā.ī tamkanat bhī

    sabhī kuchh tumhāre tasarruf meñ thā zindagī har ik aasrā bhī

    kaḌe bām-o-dar bhī

    chaman bhī samar bhī

    magar tum ḳhud us vaqt kyā the

    tumhārī nigāhoñ meñ duniyā dhueñ bhañvar thī

    jab uḌtī halākat ke shahpar tumhāre saroñ par se guzre

    tumhārī nigāhoñ meñ duniyā dhueñ bhañvar thī

    agar is muqaddas zamīñ par

    mirā ḳhuuñ na bahtā

    agar dushmanoñ ke garāñDīl Tankoñ ke nīche

    mirī kaḌkaḌātī huī haDDiyāñ ḳhandaqoñ meñ na hotīñ

    to dozaḳh ke sho.ale tumhāre mo.attar gharoñdoñ dahlīz par the

    tumhāre har ik besh-qīmat asāse qīmat

    is surḳh miTTī se hai jis meñ merā lahū rach gayā hai

    tum us waqt kya the

    tumhaare mahlon tumhaare gharon mein to sab kuchh tha

    aasaishen bhi wasile bhi

    us kibriyai ki tamkanat bhi

    sabhi kuchh tumhaare tasarruf mein tha zindagi ka har ek aasra bhi

    kaDe baam-o-dar bhi

    chaman bhi samar bhi

    magar tum KHud us waqt kya the

    tumhaari nigahon mein duniya dhuen ka bhanwar thi

    jab uDti halakat ke shahpar tumhaare saron par se guzre

    tumhaari nigahon mein duniya dhuen ka bhanwar thi

    agar is muqaddas zamin par

    mera KHun na bahta

    agar dushmanon ke garanDil Tankon ke niche

    meri kaDkaDati hui haDDiyan KHandaqon mein na hotin

    to dozaKH ke shoale tumhaare moattar gharondon ki dahliz par the

    tumhaare har ek besh-qimat asase ki qimat

    is surKH miTTi se hai jis mein mera lahu rach gaya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now