sarsayyad ke mazar par
charāg-e-ilm raushan hai haqīqat kī havāoñ par
hukūmat kar rahā hai ek goshe se fazāoñ par
ye sar-sabzī-o-shādābī jo vīrānī kā hāsil hai
ragoñ meñ us kī poshīda tamavvuj-ḳhez ik dil hai
abhī tak ḳhaak meñ us kī hai josh-e-irtiqā baaqī
lahad par ghaas ke pattoñ meñ hai nashv-o-numā baaqī
abhī tak anjuman meñ guuñj baaqī hai sadāoñ kī
abhī tak kheltī hai ḳhaak se shoḳhī havāoñ kī
ye bazm-e-ḳhvāb-e-sarsayyad ye naqsh-e-azmat-e-rafta
mai-e-īsār se labrez hai ik jām-e-nūrānī
mohabbat kī tarah ābād rakkhegā ḳhudā us ko
miTā saktī nahīñ duniyā-e-hādis kī havā us ko
maiñ zauq-e-ilm le kar turbat-e-sayyad par aayā huuñ
aqīdat ke shagufta phuul apne saath laayā huuñ
tirī vahshat liye phirtī hai garm-e-justujū mujh ko
sukūñ-andoz hone kī bahut hai aarzū mujh ko
fazāoñ meñ mohabbat kī haqīqat āshnā huuñ maiñ
ik āġhosh-e-adab meñ parvarish paatā rahā huuñ maiñ
ba-qadr-e-zauq takmīl-e-tamannā kī tamannā hai
isī āġhosh meñ me.arāj-e-fardā kī tamannā hai
tamannā hai jahān-e-ilm meñ chamkūñ sahā ban kar
jumūd-e-zulmat-e-hastī pe chhā jā.ūñ ziyā bin kar
tamannā hai ki duniyā mujh se yaksar nuur ho jaa.e
ye tārīkī simaT kar ek din kāfūr ho jaa.e
tamannā hai ki sarsayyad banūñ yā 'shiblī'-o-'hālī'
ki in arbāb-e-mahfil kī abhī tak hai jagah ḳhālī
ilāhī ḳhāk-e-sarsayyad se kuchh chiñgāriyāñ de de
mazāq-e-dil tarastā hai tapish-sāmāniyāñ de de
mirī qismat meñ is mai-ḳhāne kā sāġhar nahīñ yārab
evaz meñ is ke mujh ko mashrab-e-pīr-e-muġhāñ de de
jahāñ ik tā.er-e-sidra kisī din chahchahāyā thā
unhīñ shāḳhoñ pe mujh ko iḳhtiyār-e-āshiyāñ de de
jo mere sāz-e-fitrat meñ nayā ik soz bharnā hai
tū 'jauhar' aur 'zafar' kaisī zabān-e-naġhma-ḳhvāñ de de
mujhe darkār hai phir mulk-o-millat kī hudī-ḳhvānī
'nazīr'-o-'shiblī'-o-'hālī' kā andāz-e-bayāñ de de
ġhubār-e-rah-guzār-e-dahr meñ ālūdgī kab tak
mire zarrīñ tasavvur ko bisāt-e-kahkashāñ de de
dimāġh-o-zehn meñ ik jañg barpā hai ḳhayāloñ kī
ise hamvār kar ke ik sukūn-e-jāvedāñ de de
agar hai qāfile ke saath chalnā merā nā-mumkin
to mujh ko rahnumā kar de mujhe ik kārvāñ de de
zamīñ par paañv phailāne kī gunjā.ish agar kam hai
mujhe bādal banā de sair ko ik āsmāñ de de
agar taḳh.īl-e-sarsayyad hai ab guldasta-e-māzī
javānī kī umañgoñ ko na.ī añgḌā.iyāñ de de
payām-e-kāmyābī de mujhe aivān-e-rif.at se
maiñ ḳhālī haath jā saktā nahīñ sayyad kī turbat se
charag-e-ilm raushan hai haqiqat ki hawaon par
hukumat kar raha hai ek goshe se fazaon par
ye sar-sabzi-o-shadabi jo virani ka hasil hai
ragon mein us ki poshida tamawwuj-KHez ek dil hai
abhi tak KHak mein us ki hai josh-e-irtiqa baqi
lahad par ghas ke patton mein hai nashw-o-numa baqi
abhi tak anjuman mein gunj baqi hai sadaon ki
abhi tak khelti hai KHak se shoKHi hawaon ki
ye bazm-e-KHwab-e-sarsayyad ye naqsh-e-azmat-e-rafta
mai-e-isar se labrez hai ek jam-e-nurani
mohabbat ki tarah aabaad rakkhega KHuda us ko
miTa sakti nahin duniya-e-hadis ki hawa us ko
main zauq-e-ilm le kar turbat-e-sayyad par aaya hun
aqidat ke shagufta phul apne sath laya hun
teri wahshat liye phirti hai garm-e-justuju mujh ko
sukun-andoz hone ki bahut hai aarzu mujh ko
fazaon mein mohabbat ki haqiqat aashna hun main
ek aaghosh-e-adab mein parwarish pata raha hun main
ba-qadr-e-zauq takmil-e-tamanna ki tamanna hai
isi aaghosh mein mearaj-e-farda ki tamanna hai
tamanna hai jahan-e-ilm mein chamkun saha ban kar
jumud-e-zulmat-e-hasti pe chha jaun ziya bin kar
tamanna hai ki duniya mujh se yaksar nur ho jae
ye tariki simaT kar ek din kafur ho jae
tamanna hai ki sarsayyad banun ya 'shibli'-o-'haali'
ki in arbab-e-mahfil ki abhi tak hai jagah KHali
ilahi KHak-e-sarsayyad se kuchh chingariyan de de
mazaq-e-dil tarasta hai tapish-samaniyan de de
meri qismat mein is mai-KHane ka saghar nahin yarab
ewaz mein is ke mujh ko mashrab-e-pir-e-mughan de de
jahan ek taer-e-sidra kisi din chahchahaya tha
unhin shaKHon pe mujh ko iKHtiyar-e-ashiyan de de
jo mere saz-e-fitrat mein naya ek soz bharna hai
tu 'jauhar' aur 'zafar' kaisi zaban-e-naghma-KHwan de de
mujhe darkar hai phir mulk-o-millat ki hudi-KHwani
'nazir'-o-'shibli'-o-'haali' ka andaz-e-bayan de de
ghubar-e-rah-guzar-e-dahr mein aaludgi kab tak
mere zarrin tasawwur ko bisat-e-kahkashan de de
dimagh-o-zehn mein ek jang barpa hai KHayalon ki
ise hamwar kar ke ek sukun-e-jawedan de de
agar hai qafile ke sath chalna mera na-mumkin
to mujh ko rahnuma kar de mujhe ek karwan de de
zamin par panw phailane ki gunjaish agar kam hai
mujhe baadal bana de sair ko ek aasman de de
agar taKHil-e-sarsayyad hai ab guldasta-e-mazi
jawani ki umangon ko nai angDaiyan de de
payam-e-kaamyabi de mujhe aiwan-e-rifat se
main KHali hath ja sakta nahin sayyad ki turbat se
- Sub.h-e-Mashriq (1931 ta 1938)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.